Bhool gaye woh waadein Baatein ya iraade Muh se saare lavz Shabd tum bahaate the Ulte-seedhe shabdon ke gaane tum banaate the Aur wahi lavz apne aap aankhon mein aate the Aate the, jaate the Har kisi ko bataate the "Zindagi mein chalte Sitaaron se sajaa lete" Siyaahi gir jaati toh kalam tum hataa te the Par woh panne dil ke paas fir bhi laate the Ai Ni Wo Ai Ni Nahi aayegi Yeh bhi bataya nahi Sare aam kari usne ladai thi Uski aankhein band Meri aankhein bhar aayi thi Wo Ai Ni Wo Ai Ni Nahi aayegi Yeh bhi bataya nahi Sare aam kari usne ladai thi Uski aankhein band Meri aankhein bhar aayi thi Kalam mere haathon se choot gaya Tumhari baaton ka guldasata woh foot gaya Rooth gaya mere se woh rooth gaya Bandon ne dekha mera roop naya Woh roop gaya Jaise unn sabko bhool gaya Unn sabko bhool gaya Unn sabko bhool gaya. Tasalli dene waale sab par Taaliyan na koi Tasalli ka kya karein? Umeed Taaliyon se judi Udd jaata hai yeh waqt, siyaahi likhe har shabd Muh khule toh lavz, par muh jhuke toh bura waqt Thoda sakt apne aap par Samjhi thodi duniya seemaaein taap kar Haanf kar, bhaaga sach se, mann mera saaf par Doosron main khud ko dekhun Fir kya sach unka badnaam par? Gaddon ki baahon mein rehlun Raatein meri gumnaam har Zindagi mein shaamil woh dard Kar fateh mann kehta par Gosht thand har sard Deewaarein garam rakhti mann ko Par deewaaron se baatein lagti hai karz Shaamil mere kapdo mein shaayad woh Shikaayat apne aap se Badan par sitaare kaash gir jaate Maut nahi buri haar apne aap se Apne aap se Jiss din haath na likh paaye Uss din, zubaan zaroori hogi Par zubaan ka bhaar uth jaaye Shabdon mein utni bhaar zaroori hogi Wo Ai Ni Wo Ai Ni Nahi aayegi Yeh bhi bataya nahi Sare aam kari usne ladai thi Uski aankhein band Meri aankhein bhar aayi thi