Papa ki nazar mein Khudki jhalak thi Toh bhatak gaya Maa ke mann ki niraasha padh li toh thak gaya Dhoondha pyaar kai baar Par gum gaya khudki awaaz dhoondhne Toh mile kuch bechain saathi jin mein Sirf apne halaat dhoondhe Samaaj de paheliyaan jinke tukde aasan tootne Unn tukdon ka hisaab maange mera ateet Jo jhagad raha mann ki tabdeeli se Badal raha samaaj ek matlabi jaldi mein Abhi bhi dikhta sabki nazron mein Jo sab na pasand iss awaam ko Wahi bann raha main barso se Toh kal ki ek marne ki nakaam koshish Bhagwaan khudgarz Khudko khatm karne ka de intekhaab Cheen liya sabr banne ka nakaam Ateet aur aaj jodna chaahe sawaal Bhoolna khudko mera khwaab Karwatein lekar aisi raaton mein Hona chahoon khudse riha Dabe paaon inn vichaaron ko sajaaya Bina shor kiye bhaaga iss aks se Yaad nahi khudgarzi mein Chodne pade kitne shaks the Nakli seedhiyon se bacha toh chala pata Naamunkin nahi udna paaon zameen par rakhe Ya toh bhool jao khwaab Ya santulan Dono par rakhe paaon Mann se bach tu ab In aks se faraar hona maane khud ko khona Bahaar ka wazan mehsoos kar Apne mann ko kar riha Bhool ja apne iradon ki fiza Bhool ja apne gamon ki wajah Dhoondh la ek teesri shakl Taak khudko baahar se Tere vichaar chalaak Woh tujhse bhaagte Par tu mann mein rakh thehraav Sunn tera karm kya tujhse keh raha Vichaar matlabi Unka tujhse sambandh nahi Adhoori kahaaniyon ki thakaan Apne kandhe se utaar Tu sirf apne karmon ke liye zimmedaar Tu sirf apne karmon ke liye zimmedaar Tu sirf apne karmon ka zimmedaar Tu sirf apne karmon ke liye zimmedaar Tu sirf apne karmon ka zimmedaar Ateet aur aaj jodna chaahe sawaal Bhoolna khudko mera khwaab Karwatein lekar aisi raaton mein Hona chahoon khudse riha Riha