Kya dard kisi ka lega koi? Apne ghar ke uss roshandaan se jhaank leta hoon mai Baahar sirf khushiyaan dikhti hai Kabhi aankhein band kar apni saans rok leta hoon Toh baahar ki shanti aur andar ka shor nazar aata hai Kuch lamho ke liye ruk sakte ho tum? Apni kahaaniyon ka bass ek chota hissa Mujhe daan kar ke guzar jaao iss raaste se Raasta lejaaye kahaan? Raasta lejaaye kahaan? Kahaan? Raasta lejaaye kahaan? Lejaaye kahaan? Raasta lejaaye kahaan? Ya Hai meri yeh soch Ya mera sankoch Ye raaste dikhe na aaj bhi Hai thoda sa shor, ya mann mein chor Ummeden na tooti khwab ki Dikhein lakeeren jo hathon mein Vo manzil ki or hai bhaagti Par umeed se duur ye raaz ki baatein hamesha kyu mujhe satati Likhte hum baatein hazaar in lafzon mein kaisa ye arth chupa Dikhte hum sheeshe mein na parchhaai se duur hai ghar ab mera Ateet ke pehlu hai itne, ki qaid hoon main inme Ab sehlu mein qisse Jo Dikhaate raaste Pata na sahi aur galat ke faasle Hum apne hi khwabon ko maar de Ye raaz ab mujhe hi maat de Aur sach se hojaate haadse Par sawaal bas ek hi samne Bhaag ke jaana hai duur Ya vajood ki karni talaash hai Bhaag ke jaana hai duur Ya vajood ki karni talaash hai? Uss roshandaan ke doosri taraf shaayad Sheeshon se jude hue makaan nahi Sab kehte hai rishte sirf pyaar jod sakta hai Par mai kahun toh vishwaas rishton ko jude rakhne deta hai Rishton ke liye jagah aur waqt nikaalna shaayad meri aadat nahi Par vishwaas mein kami nahi rakhta mai Jinhe kho diya, unke saath waqt chahiye mujhe Raasta lejaaye kahaan? La la la la La la la la lala lala la La la la la La la la la lala lala la Kal ka safar adhoora reh gaya Jaldi uthne ke iraade se soya Khaab ek dekha, dekha kai baar Raaste pe chalte hi, manzil ko hai khoya Raasta lejaaye kahaan? Raasta lejaaye kahaan? Lejaaye kahaan? Raasta lejaaye kahaan? Raasta lejaaye kahaan? Lejaaye kahaan? Lejaaye kahaan?