Aadmi ki aukaat se badh kar Uske dabe hue khwaab chupe andar Sab luta dega woh iss jhoothe junoon mein Iss jhoothe junoon mein Yahi aadmi ka guroor hai Yahi aadmi ka guroor Pata hai aadat aur chaahat mein kya farak hai? Ek ki kami mehsoos hoti Doosre ki talab hai Ek ko paane ka junoon Doosre ki khwaahish Khudse kehkar jhooth Pooche guroor ki farmaaish Majboor insaan baandhe anginat khwaab Jab khwaab na ho poore kare anginat baat Baaton mein jhalakti uski kapati saadhgi Sab chod gaye saath Guroor leke chalta aaj bhi Gale mein dhuaan aur uske kaale rang ki saans Baal safed par junoon ki phir bhi talaash Soche woh samajh paate unkahe alfaaz Taaki samjhe jazbaat jab sirf woh reh laash Samjhaao matt mujhe Mai maan jaaunga Apne aansoon ek baar phir dabaaunga Wafadaar hai mere aksh ya dhokhebaaz? Yeh duniya ko samajhte hue bhi nahi aate baahar Gum ki baat Gum bhi gawaa chuka hoon mai Aadhi raat pooche woh sawaal Bataaun kaise? Bataaun kaise ki ab saare gum manaa liye Khushi ko ab bulaaun kaise? Aadmi ki aukaat Majboor insaan baandhe khwaab Jab khwaab na ho poore kare anginat baat Karega woh kab khud par vishvaas?