Bas ek baar tujhko Nazron se chhu liya Mera jahan tab se Mera na raha Mujhe dekhke tune Muskura diya Ajnabee mere tu Kyun mujhko na ajnabee laga Rukja, mat jaa Main kehta, par keh na saka Lamha, tham ne laga Par tu yun chalta raha Mudhkar dekhle tu Main hu yahi, main hu yahi Bas ek baar, toh kehde tu Main kyun nahi, main kyun nahi Tu rukta, toh keh deta Par tu yun chalta raha Sunn na, sunn lena Main kehta, par keh na saka Yeh pal, pal bhar hi raha Sab mera par, mera na raha Yeh pal, pal bhar hi raha Sab mera par, mera na raha Ke milenge hum kabhi Tere kisi modh par Ke tu jaa chuki hain Aur main ab bhi wahi hun Par tu jaha pe bhi hain Khush rehena jaan kar Ke main bhi tere hi samandar mein Doob sa gaya hun