(Raat ki khaamoshi yun sataaye) Iss tarah hum yun mil gaye Jugnuon jaise khil uthe Par tu hai woh sapna Jo yaad aaye Raat ki khaamoshi Yun sataaye Ab dhoond tu matlab mere geeton mein raagon mein Lapat ki talaash mein, uljha chiraagon mein Kapat ki saaz yeh, badhtein hain faaslein Ruki si saans yeh, atka hun dhaagon mein Dil ki dhadkan ki kareebi ikhtiyar Mere mann ki raahat, dur kare iztiraar Par deewaar ke uss paar main bekarar Ab haarkar lachaar sunn dil ki yeh pukaar Iss tarah hum yun mil gaye Jugnuon jaise khil uthe Par tu hai woh sapna Jo yaad aaye Raat ki khaamoshi Yun sataaye Ab doobta chala main apni tanhai mein Dhoondta fira yaadon ki gehrai mein Baaki reh gaye jo lamhein judaai se Tu bhi silsila jeene ki ruswai mein Jeeta main kishto mein rootha main rishto se Naam tera labzon pe dhoondta hun kasbon mein Aaj bhi unn khwaabon mein, chalun unn raahon pe Jugnuon ki gawahi tu hoti inn baahon mein Iss tarah hum yun mil gaye Jugnuon jaise khil uthe Par tu hai woh sapna Jo yaad aaye Raat ki khaamoshi Yun sataaye Ab dhoond tu matlab mere geeton mein raagon mein Ab dhoond tu matlab mere geeton mein raagon mein