Maine ye na socha tha kabhi Ki tu mil jayegi Ek peepal ki jo daal pe, Tu lad jayegi Mujhe is dhun ki na hai khabar, Kitno ko khayegi Sach main na maine socha tha kabhi Tu mil jayegi Har koi bole bas yahi Ajeeb hai zindagi Kabhi ye makdi ke jaal si, kabhi titli nayi Mujhe bas itna tu ye bata Kya tu thi zindagi Jo apne udte pankho se Fasa mujhko gayi Zinda Zinda Ik katputli si hai ye kahani Meri Parda parda kya tujhe sachme lagta hai tujhe mil gayi khushi? Waise dil ki tu sahi Ye kehte the sabhi Par tujhme bhi ik thi Kami Jo mujhse na chipi Mujhe bas itna tu ye bata Ki kitni pyaas thi Jo mere udte sapno ko nichod ke pi gayi Zinda Zinda Ik katputli si hai ye kahani Meri Parda parda kya tujhe sachme lagta hai tujhe mil gayi khushi Ab kaafiro ke jaise yun bas ud chala hai tu Kuch poochta hun yun sun Sun sun sun sun sun Ab ik naya Saaya jo tujhe Apna kehlayega Kya wo bas ik shaitan ya farishte layega? Mujhe bas itna tu ye bata, Kya wo pachtayega? Kuch antrangi si dhun main bhi Kya wo bhi gaayega? Zinda Zinda Ik katputli si hai ye kahani Meri Parda parda kya tujhe sachme lagta hai tujhe mil gayi khushi