Raat Ho chuki hai Sochta hun ki ab main Dhoond lun Ik machine Jisko chalakar ud chalunga main kuch aage bas yunhi Jaunga ik jagah jaha Waqt bhi bikta hoga Insaan ka minute do lakh ka kahi hoga Mushkil hoga batana ye Ki kaun ameer kaun gareeb Kya tum bhi sochte kuch Kyunki raat ho chuki hai Sab kho chuka hai Phir bhi hamesha mujhko hi dhoondhti ye machine Mujhko pehankar iski udaano se ghabrati machliyan bhi kayi Ud jaaye ik jagah Jaha dard bhi khush sa hoga Ik zehar maut ka bhi chashni sa hoga Mushkil hoga batana ye Hum benaseeb kya the kabhi Ab tum bhi sochte kuch kyunki raat ho chuki hai Sarphira hun main Bakta hun kuch bhi Sarphira hun main Bakta hun kuch bhi