Sunana chahta mere saare raaz ye Sabhi ka swagat daastan-e-khwaab mein Dwar ek log paanch khade saamne Ye saara lekha jokha mera unke hath mein Jhoot ke mukhote chehre par ye jaante Sabhi ka swagat daastan-e-khwaab mein Kaam ki baat haan, maine jaan li aaj Ya parchai ko maarke, khudki jaan li aaj Meri aatma ne suna toh ye taal di baat Teesre ne dekhe mere haath ke ghaav Chahuthe ne puche mere raat ke haal Aur paachve ne dekhi mere hath mein dekhi mashaal Toh ussi ne nikali har baat ki khaal Nikal hi gaya hun ab mein sadkon mein Na jaane kyu na paunch pata ghar ko main Akela baitha khudse karta samjaute Ye meri khudse baaten tum na samjhoge Doobta asraar ke talaab mein main Ye log mann se toote svabhav se hai Khudi mein karta khudi talaash ye main Par hum bhi toh lavzon ke hi vyapaar mein hai Ghar mein shanti toh bhi hota shor Shhhhhh sabhi ke mann mein bhara chor Hum maane khudi mein ya maane apni galtiyan bhi Jhuk ke sudharte jo khud mein dikhi kamiyan thi Badalne ki chahat sabhi mein aaj toh Par kitnon ne seeshe mein dekh khudi ki pehchaan ki Hum bhi hai unhi mein jo khai mein gir kar samajhte Girate khai mein vo humare ku karam the Bhagta khudi se, bachna chahta aaj se Upar badhne ki chahat poore karne khwab ye Kuch ghante bhi na hoye abhi mujhe khwab dekhe Par jeetne ki chahat kabhi mera sath na de Banali doori khudse maine raaz kehke Naraaz se mann ko chubte sach ke ghav deke Sunana chahta mere saare raaz ye Sabhi ka swagat daastan-e-khwaab mein Dwar ek log paanch khade saamne Ye saara lekha jokha mera unke hath mein Jhoot ke mukhote chehre par ye jaante Sabhi ka swagat daastan-e-khwaab mein Sapnon ki duniya