Parosenge hum milke ab meri bahaane baazi Vo mai gaali khata aur jo mujhe baatein khati Hum kaise jaane jaate aur ab kaise raaten kaati Dhua hai kamre mei dikhe na ye aankhen kaali Maare kash aur phir ye geet bane aaj hai Sangeen si ye shaam aur aajeb isme baat hai Zaika purana aur laalch bhi iska naam hai Methaas beimaani meri rooh ka jawab hai Soot samet mai karu tera hisab poora Somras lafzon mei na maine koi maal fooka Tu bole chodh sab haan tere muh pe aaj thooka Jhooote khayal bankne mere peeche bhaag tu na Saadhu si soch mai kar dunga tujhe mantra mugdh Mere tu charan choo le tu mera chandragupta Andar se shant par vinaash thera chehre pe Mere kukarm mere nakshtra pe pehre de Girte khai mei roz aur zakhm gehre the Kaali khaniyon ke geeton pe hum behte the Mujhe chahiye meri zindagi mei aur qisse Mujhse bhidte roz par chahiye aur hisse Ab kitna baatu mai jab bacha khud mai aadha nahi Karta halal jab vo bole tujhpe baat aa gayi Kharoch chhati pe aur kismat mei koi badha nai Chup ho jaata kyuki mere shaant svabhav pe baat aa gayi Parosenge hum milke ab jo hai kahani baaki Mai bhi bolu hota sach hai ye zabaane kaali Vo mai gaali khata aur jo mujhe baatein khati Hum kaise jaane jaate aur ab kaise raaten kaati Parosenge hum milke jo rehti kahani baaki Jo bhi bolu hota sach hai ye zabaane kaali Vo mai gaali khata aur mujhe baatein khati Hum kaise jaane jaate aur ab kaise raaten kaati