Kishore Kumar Hits

Irfan Haider - Nok E Neza Pey şarkı sözleri

Sanatçı: Irfan Haider

albüm: Allah Ka Zakir


Jab shaam ke bazaar may saidaniyaan aayi
Aur chadar ki jagah khaake safar baalon pe laayi
Nagaah jab ghazi ki nazar kulsoom tak aayi
Aur sar khaak par abbas ne naize se giraya
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Ek ghaiyoor wafadar pe ab aur sitam kya hoga
Jiski chadar ka mohafiz tha wahi aaj hui beparda
Shaam walo isi ehsaas se dourane safar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Girgayi raah may naaqe se sakina to ye zainab ne kaha
Ek chacha aur bhatije ki mohabat to zara dekh khuda
Pushte naaqa pe sambalti nahi sheh ki dukhtar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Shaam ke log tamashaayi bane aur tamasha sadaat
Bewatan aur khule sar sare raah kare kya sadaat
Khoon aankhon se bahaate shahe jin-o-bashar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Aandhiyon khaak udao ke banhe isse haram ka parda
Goonji jab shaam ke gham naak fazaon may ye zainab ki sada
Aasmaan rone laga royi zameen ye kehkar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Chasme sajjad se behne lage us waqt lahoo ke dhaare
Jab ke masoom sakina ko sitamgar ne tamache maare
Laasha saahil pe tadapta hai udhar aur idhar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Rone walon sare bazaar khule sar thi ali ki beti
Girgarya farte wafadaar jo naize se to hairaan thay shaqi
Poocha abid se sitamgar ne batao kyun kar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Saat sadaat ke shehzadiye kounain safar karti rahi
Nowha karte hai nabi khaak udatay hai hasan aur ali
Haaye kya waqt hai rote hai sina par sarwar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Kabhi laila kabhi farwa kabhi kulsoom kahe wawaila
Chehra baalon se chupate hue zainab ne yahi roke kaha
Amma fizza zara dekho to ye gham ka manzar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Nowha likhte huwe irfan ye mazhar ne kaha tha rokar
Kaun khirtaas pe la sakta hai aulade payambar ka safar
Ro diye qalb-o-jigar ek hi misra likhkar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Darr hai kulsoom ke chehre pe na padjaye nazar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar
Noke naiza pe teharta nahi abbas ka sar

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar