Peshay se tabeeb tabiyat se shayar ye lafz hein mere Baatein hein nafees khudgarz hain nafs nooraani chehre Dil se me bolun such na jhoot kahunga mein apni baaton me Kuch cheezein hein aisi hoti jo sonay nahi deti kaali raaton mein Jese kaalay dil aur kalay log jese hansi mein chupay hue saray rog Meri hasti se juray hue saray log saamp aur sapeeray hein saray dost Nahi ata mujhe hera pheri yun karna aur rishton mein dhong aur faraib ka rang bharna Na aata yaqeen to mujse tum likhwa lo qalam mein uthaata hun siyahi tum bharna Tu dar ab akar na upar hai khuda Pata hai mujhe mein khata ka putla Khata ki hai maafi khataon ki bhi Zameer agar mar jae to uski nahi Karo tum gila beshak jitna taweel Bano na tum mere agay yun wakeel Suchaiyan to me bhi kar sakta bayan Par farq to hai mujh me khud hoga ayaan Ye dunya to faani hai Kabhi na kabhi moat bhi to aani hai Lafzon ki haira phairi hai Yahan pe sab ki apni kahaani hai Ye dunya to faani hai Kabhi na kabhi moat bhi to aani hai Lafzon ki haira phairi hai Yahan pe sab ki apni kahaani hai Is faani dunya mein zakhmoon ka ilaaj hai Moat to phir bhi rahi na guzeer Jo boya hai kaato gay jis din Kya us din jagao gay apna tum soya zameer Kabhi kiya nahi dhoka Hamesha se rakhay hein rishtay sab belos Fitrat ye meri Momin ye banda kya qismat mein firdos Gehri hein baatein aur gehre zakham Likhtay hue hongi ankhein bhi nam Wohi ankhein jin mein farishta tha dikhta Ab un akhon me dikthay hein sirf gham Tanhai ka aalam kora ye kaghaz lafzon me himmat nahi Sochne betha tha likhunga sirf wafa ke charche hi Zameer na maana aur likh diya faani suno aur samajh lo Seekh lo sabaq tajarbay se milta iski koi kitab nahi Ye dunya to faani hai Kabhi na kabhi moat bhi to aani hai Lafzon ki haira phairi hai Yahan pe sab ki apni kahaani hai Ye dunya to faani hai Kabhi na kabhi moat bhi to aani hai Lafzon ki haira phairi hai Yahan pe sab ki apni kahaani hai