Kitnay barson purani hai ye daastan Ab kahan tu Akele hai mainay saha ye imtehaan Tha yakeen tu wapis ayega yahan Phir aa ke bhi upar neechay kar diya hai yeh jahaan Tau ab bol kya kahoon mein Soch kya karoon mein Iss bekhudi ne chheen liya hai mujh se raasta Khoj main phass gayi mein Iss pal se dar gayi mein Agay barhti rahi Sehmi nahin khari hui mein Nahin hai koi gham mujh ko Tere liye main khushiyan chahti hoon Nahin liya qadam tu ne meray liye Par bekhudi main kho gayi thi Kho gayi thi main Nahin hai koi dar ab mujh ko Hona tha jo ab hogaya hai Aur iss umeed ko mainay chhor diya hai Thay jo guzray pal woh bhula diye hain Chhupa diye hain Parday ke peechay kuch sawaal uthay thay Lajawaab rahay hain Tou chorro inn ko Mann pe bharosa rakh lo Lafzon main kya rakha hai Khamoshi main sukoon hai Iss bekhudi ne chheen liya tha mujh se raasta Khoj main phass gayi mein Khauf se aagay barhi mein Apna hi dil behla ke Bina ghabraye khari hui mein Nahin hai koi gham mujh ko Tere liye main khushiyan chahti hoon Nahin liya qadam tu ne meray liye Par bekhudi main kho gayi thi Kho gayi thi main Guzray pal main gum gaye Hum bhi uss khwab main Kab se Khoj main khud ko kho gaye Par hum iss khala main Nafraton se shor se Bekhudi chhor ke Raasta dhoond hi lenge Nafraton se agay Tamasha peechay chhor ke Dil ko hausla dila ke Bina ghabraye khari hui main Nafraton se agay Tamasha peechay chhor ke Dil ko hausla dila ke Bina ghabraye khari hui main Nahin hai koi gham mujh ko Tere liye main khushiyan chahti hoon Nahin liya qadam tu ne meray liye Par bekhudi main kho gayi thi Kho gayi thi main