Kishore Kumar Hits

Sunny Khan Durrani - La Haasil şarkı sözleri

Sanatçı: Sunny Khan Durrani

albüm: La Haasil


Kaash ye bhi ghazlon ka doar hota
Kaash aaj bhi lafzon pe ghor hota
Kaash is khel me na hoti koi haar jeet
Dil ki daraazon ki ham karte ab bhi chaan been
Kaash ab bhi hote ham puraane ghar me
Kash me na roz uthta neend se darr ke
Kaash ke ye faasla thoraa aur kam hota
Kaash mere dil me koi bhi na gham hota
Kaash ke ye kaash kahin dur jaa ke bas jaen
Kaash gham bhul ke ye lab phir se hans paen
Kaash abu aaj bhi hote hamare sath me
Kon lagae gallay baad eid ki namaaz ke
Kaash ke me likh paata kya hai kahaani
Kaash ke tum jaante jo tumhe bhi pataa nahi
Kaash ke ye kaaah ka samandar paar kar jaen
In hasraton ke neeche kahin doob ke na mar jaen
Me sirf apna dil is geet pe bahaa raha
To agar kuch ghalat lage maaf karna Jaane dena
Me khud bhi hun tang apne aap se
Samajh lena gar me na de sakun jawaab
Kaash saans lesakte doob ke
To aaj mera dost Kamran hota sath me
Kaash log dekh lete mur ke
To aaj kitne rishte choot'te na haath se
Kaash ke na toot'tay bachpan ke khilonay
Kaash mil jaate shehron ke konay
Kaash ke na toot'tay bachpan ke khilonay
Kaash mil jaate shehron ke konay
Me Nusrat sahab ke sawaal se bhi tang
Jaane kab honge kam is dunya ke gham
Kaash mujhe aata rangon me basnay ka dhang
To aas paas ke log mujhse na hote tang
Me itne saalon baad wohi gham suna raha
Tang nahi hue kya tum sab meri zaat se?
Me apne shetaanon ko kab se sulaa rahaa
Jaagay hue bethay hain wo sab pichli raat se
Aik bachpan ka dost jo ke chala gaya Karachi
Aaj tak uski koi khabbar ya pata nahi
Ali Sher agar mera ye geet tujh tak pohunch
Jae jab yaadain tatolun bhai tu aksar yaad aaye
Tujh se bhi wese hi raabta nahi ho para
Jese mere abu tak pegham nahi pohunch para
Abu me aik acha beta nahi ban saka
Aap ke sab khwaab me nahi pura kar saka
Ab jab us rab ke aap itne qareeb ho
Puchna banaya mere bete ko ajeeb kyun
Ab bhi aapka dia hua waada nahi tora
Me rakh raha khayaal, me chup chup ke ro raha
Par sachi jo baat mera dil nahi lagta hai
Saans ki hai kami lage dam ghuttay dunya me
Reh raha hun yahan sirf ghar walon ki khaatir
Warna aitraaz nai gar ruk jaen saansain
Me sirf apna dil is geet pe bahaa raha
To agar kuch ghalat lage maaf karna Jaane dena
Me bhi khud bhu hun, tang apne aap se
Samajh lena gar me na de sakun jawaab

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar