Kishore Kumar Hits

Sunny Khan Durrani - Aakhri Khat şarkı sözleri

Sanatçı: Sunny Khan Durrani

albüm: Aakhri Khat


Aakhri baar baat hui jab likh raha khabbarnaama
Tuney kaha ab na aana to me kabhi nahi aaya
Lekin ab baat karna hai zaroori
Meri saansain ghat'ti jaari aur dharkanay kam hori
Mujhe moat ke farishtey sunaana chahrey lori
Par ye khat likhna zaruri kyunke
Kaafi batain maazi ki mere seene pe hain sorahi
Meri darkhanay kam horaheen
Meri dharkanain kam horaheen
Meri dharkanain kam horaheen
Me jaanta hun, tera ghussa bhi jayiz hai
Me jaanta hun, tu ghussay ka qaayil hai
Ye zeher bhi tujhe mila hua hai viraasat me
Tu baha de ragon se jo waqt tujhe ijaazat de
Jaanta hun jab tuney apni jaan lena chahi
Jaanta hun qaddar teri dunya ko na qaddar aaye
Jaanta hun jo kuch tuney khoya is raaste pe
Jaanta un saaron ko jo maiyyat pe naachenge
Jaanta tum kitne mehroom rahe pyaar se
Me jaanta ye sab ke ham aik kashti ke sawaar
Aur me ye har giz nahi chahta ke tum mere jese bano
Me aik buri misaal, mujh jeson se bacho
Meri hi wajah se tere rishte gaye toot
Par tu jaanta insaaf ke karway hote hain ghoont
Aur me peeta raha hun, tabhi mujhme wo shaamil
Me nas nas ko maar ke bana hun apna qaatil
Tu badal de mustaqbil ke waqt abhi bhi baaqi
Yaad rakhna waada aur nibhaana zimedaari
Meri tarhan sheher kabhi chor ke na jaana
Meri tarhan apne khwaabon ko phaansi pe na latkaana
Me Jaanta nai nikal sake tum abu ki moat se
Me jaanta ya jaanta jo koi apna kho de
Me jaanta tu ghussa ke koi na tere saath tha
Tu kyun rakh raha umeedain in logon se kya waasta?
Ye ranj, gham, ghussa yehi khagya meri zaat ko
Me yehi kehna chahta ke ab is zeher ko nikaal do
Warna kuch saalon me tum bhi wahin pe hoge
Jahan pe aaj me hun khara tum hath malo ge
Me har wo wajah ke tum khud ko badal sako
Me tumhaara kal umeed tum yaqeen kar sako
(Deep breath)
Me umeed karta hun ke yeh khat tum tak waqt pe pohunch jaega
Waqt bohot kam hai
Waqt bohot kam hai

Ye us dost ke naam jo shayad kuch saal dur hai
Wo dost jiski saans meri saans se majboor hai
Me maaafi maanga chahta ke tum phans chuke is haal me
Me sharminda hun ke sab biggar gaya chand saal me
Me maanta meri wajah se mukkamal nahi hosake
Gham seene me le gaye tum aansu nahi rosake
Maanta ghudgharzi thi me maanta ye ghalat tha
Par kya karta me dost mujhe aata nahi tha tareeka
Kese chupaana seene me dabba hua malaal
Kese hona khamosh chup rehna sab jaan kar
Mera seena phat'ta jara tha aur rooh ko karna kooch tha
Me in sab sawaalon ke jawaab kis se puchta?
Me kis ko batata ke me hun kis fasaad me
Me hans ke dikhaata raha ban ke azaad
Mere dhong ki kamiyaabi hi shayad tera zawaal tha
Koi pakar nahi paya tera dost bhi kamaal tha
Dilaata raha bharosa ke wo theek hai wo theek nai
Aur jhonpri khamosh me hi toofaa me bheeg gai
Par ab koi faida nahi kisi qisam ki behes ka
Hosake to rakh lena laaj mere rehes ka
Bata dena unko bhi ke meri kya wajoohaat thi
Sirf meri nahi ghalti ye dunya bhi badzaat thi
Qismat ke maslay kuch ghaib ke hain pangay
Tabhi aaj ye haath apne khoon me hain rangay

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar