Ham ja rahe Ye aasron ke dar pe ham kyun? Ham taaray Ye raaton me hi kyun ham chamkay? Shikway, mujhe kitne hi sab se Ye jumlay rakhun dur me rab se Ke sun le na kahin wo dunya ki haalat Mayoos khudai ki tu karle kafaalat Jahaalat ka aalam hain Tangay we saadiq aur hans rahe munaafiq Me jaun kahan pe? Mujhme bachi koi sharam o hayaa nai Bhai dafnaa ke ham shoot pe jaa rahe Maazi ki laash pe ham juway lagaa rahe Ham ghaazi aur qaazi ko phansi charha rahe Me apne tabood ke pese bacha ra Me mic pe khaaliq ko shikway suna raha Me mitti ke dheron pe qatbay laga raha Me gheron ki laashon ko apna bata raha Me guzray we kal ke gunaah jhutla raha Me haq ki sadaaon pe jhoomay hi ja raha Me kehta Jaane do na Mujhe aake khoklon ki misaalain do na Mujhe chahiye nai tera ye pesa sona Is ghoron ki dor me nahi shaamil hona Mujhe chor do sakoon me ke sar pe fatoor Mere ghar se me door mera dil majboor Mere aas paas bhagta ye sara zamaana Mujhe jaltay we koilon pe chaltay jaana Mere apne gunaahon ka me bhar kafaara Me zameen ke seene me sonay jaa raha Mujhe dunya me chalne ka dhang nai aata Mujhe apna hi dil be rang sataata Mujhe bolte hain jese mujhe fun nai aata Me to jaibon me apna kaffan phirata Raakh sona Mera raaz khol na Maazi tatolna Mere aeyb bol na Ham ja rahe Ye aasron ke dar pe ham kyun? Ham taaray Ye raaton me hi kyun ham chamkay? Murday jo garhay hue tum rakh do baahir Nahi bola wohi me jo tumhe dikhay bazaahir Ye gol daira Is se bahir aa Harf e ghaib ka kar mushayara Apne hi chehray ke tu cheer makhotay Ham toofaan ke jese ab tu khol jharoke Saari kainaat hame deti dhokay Par apna qasoor ke ham dete moqay Mujhe apne roke mujhe rokay gher Me to chal diya baadal pe rakh ke pair Chaiye nai rehbar me raah pe gaamzan Mere khwaab mujhe loot'te yahan banke raahzan Me to khaak ka putla par dhool nahi chaat'ta Me to jo bhi kamaata wo me sab me bant'ta Dharkanain hain dheemi mujhe shor nahi chaiye Mere zehen ki majlis me tashreef laaiy'ye Baat kehdi, hunar-e-mehdi Kitne yahan mere waadon ke qaidi Rakhun is gumaan me ke aaunga bachaane Par aaunga ya nahi ye to khud bhi pata nahi Me dhongi faraibi me bechta umeed Yahan jo bhi milenge wo dhan ke mureed Ye to dil ke Yazeed Yahan firkay mazeed Jinki raahain hai seedh Unke peeche raseed Shoba nahi deta me shammay bhujaa dun Me dhoka nai deta me maazi jalaa dun Me yaadon me sab ki hi kar gya baseera Ye dhaltay gaye sooraj ye qallam nahi thehra Me bharam se kehra me yahin hun reh raha Me raaton ka saathi Me roshan sawaira Ujri ye basti par ukhra na khema Kal ke hi mun pe me pherdun khiraama Ham ja rahe Ye aasron ke dar pe ham kyun? Ham taaray ye raaton me hi kyun ham chamkay?