Mein baat karu parde me rae kee Tu raaz mere kin ko bataega? Mein khaas karu arse se shayari Wo poochte hai kitne me ayega? Mein yaad karu milti nahi saeki Tu haq bhala kitne jataega? Mein bhai mere doobne ka aadi Tu bhai mera kitna bachaega? Living in the city jaha koi mera khaas nahi Living in the city jaha koi mere sath nahi Living in the city jaha sab bante baap Likin dogla mijaaz koi bhi sunta awaaz nahi Living in the city jaha maut se bhi raabta Living in the city jaha jeena bhi azaab tha Living in the city jaha pyaar doge 4 gunna 8 gunnah kar ke wo 10 gunna kaatta. Khuwaishe murda kuch bhi mangunga nahi maut tak Thokar kha ke girta mujhe pe jachta nahi koi shortcut Life is a race mene kar ke dekhi job tak Kama to lu urau kaha? Mar chuke mere shauk sab Logon se nahi milta mera is jahan pe bohot shaq 4 bande maare han tu Karachi ka bohot thug Jin logo ke sath zindagi ke 7 saal guzaare Un ne daga dee ab saza ye Mein nahi hu un kee pohonch tak Maatha tek maatha tek duniya tujhe like deri Jaha tak mujhe yaad hai me to nahi tha kal tak type teri 7 maheene gayab raha suni ek awaaz bas Gaana phek gaana phek toot rahi hai hype teri Pagal hai kya beta mene is lie likhe gaane nahi Jis duniya se lataaluki wohi duniya mujhe jaane bhai Jo kal ko maara bhund to kiya tu dega mera sath? Agar nahi to meri jaan khud ko fan mera maane nahi Laakho me kamata par uraya mene kaha par Baatu yaha niwaale haq se maanguga me waha par Jaha par jani jeena bhi asaan hoga Sab se pehli baat ke insaan bhi insaan hoga Khud se bolu jhoot ke ab yaad teri aati nahi Mashoor hee na hota jo tu zindagi se jaati nahi Decemeber ke maheene 7 shows mana kare Us kee waja ye mashoori mujhe kabhi kabhi khaati bhai Han itna bhi mashoor nahi par jitna bhi hu ziada hai Jitna mene dia shayad us ka bhi ye aadha hai Jitna banda khota us ka dugna hee to paata hai Izzat itni aaj to kiya zillat ka andaza hai Badla nahi me fame le kar ab bhi jaana wahee hu Ab bhi khaata dhakke kabhi kaha kabhi kahee hu Izzat itni bani ke burai hee nahi kar paate Meri khench lena taang jo me kal ko idhar nahi hu Living in the city jaha koi mera khaas nahi Living in the city jaha koi mere sath nahi Living in the city jaha sab bante baap Likin dogla mijaaz koi bhi sunta awaaz nahi Living in the city jaha maut se bhi raabta Living in the city jaha jeena bhi azaab tha Living in the city jaha pyaar doge 4 gunna 8 gunnah kar ke wo 10 gunna kaatta