Kishore Kumar Hits

Tina Sani - Sheeshon Ka Maseeha şarkı sözleri

Sanatçı: Tina Sani

albüm: The Definitive Collection, Vol. 2


Moti ho, ik sheesha, jaam ho ki dur
Jo toot gya, so toot gaya
Kab ashkon se jud sakta hai
Jo toot gya so choot gaya!!
Tum na-haq tukdey chun-chun kar
Daman mey chupaye bethe ho
Sheeshon ka masiha koi nahi
Kya aas lagay beithe ho
Shayad ki in tukdon may kahin
Woh saghar-e-dil hai jis mey
Sud naaz se urta karti thi
Sehba-e-gham-e-jana ki pari
Sehba: red wine
Phir duniya walon ne tum se
Ye saghar le kar phod dia
Jo ma'e thi baha di matti mey
Mehman ka shehpar tod diya
Shehpar: tail feather
Ye rangiin rezain hain shayad
Un shokh biloori sapnon ke
Biloori: birght
Tum mast jawani mein jinse
Khilwat ko sajaya kartey the
Khilwat: privacy/solitude
Naadaari, daftar, bhookh aur gham
Un sapnon se takratey the
Be-raham tha chau-mukh pathraav
Chau mukh pathraav: stoning from all four sides
Yeh kanch ke dhanchey kya kartey?
Yaa shayad in zaron main kaheen
Moti hai tumhari izzat ka,
Who jis say tumharay ijiz pay bhi
Ijiz: humility
Shamshaad qadon nay raqs kiya,
Shmashaad: tall statured
Is maal ki dhun may phirtay that buhut,
Taajir bhi buhut, rahzan bhi kayii,
Rhazan: dacoit/ robber
Hai chor nagar, yaan muflis ki,
Gar jaan bachi tau aan gayi
Ye sagar sheeshe, laal-o-guhar
Saalim hon to qeemat paate hain
Saalim: whole/ complete
Yun tukday tukday hon to faqat
Chubhte hain, lahoo rulwaate hain
Yaadon ke girebaanon ke rafoo
Girebaan: collar
Rafoo: the technique of darning
Par dil ko guzar kab hoti hai?
Ik bakhiya udheyrda, ek siya
Yun umr basar kab hoti hai?
Bkhiya udhedna: to remove a stitch (in a fabric)
Iss kargah-e- hasti mein jahan
Kargah: worskhop
Ye sagar sheeshay dhaltey hein
Har shae ka badal mil sakta hai
Sab daaman pur ho saktey hein
Jo haath bardhey yawar hai yehan
Jo aankh uthhey woh bakhtawar
Yaawar: helping/ supportive
Bakhtawar: lucky
Yaan dhan daulat ka ant nahin
Honn ghaat mein daaku lakh magar
Kab loot jhapat se hasti ki
Dukaanein khaali hoti hein
Yaan parbat parbat heerey hein
Yaan saaghar saghar moti hein
Kuchh log hein jo iss daulat par
Pardey latkaatey phirte hein
Har parbet ko, har saghar ko
Neelam chardhaatey phirtey hein
Kuchh woh bhi hein jo ladh bhird kar
Ye pardey noch giraate hein
Hasti ke uttthai giron ki,
Geer: conqueror
Har chal uljhaaye jatey hein
In donon mein ran pardta hai
Ran: battle
Nit basti basti, nagar nagar
Nit: always
Har basti ghar ke seene mein
Har chalti rah ke maathe par
Ye kalak bhartey phirte hein
Kalak: blackness/ stigma/ soot
Woh jot jagate rehte hein
Ye aag lagatey phirtey hein
Woh aag bujhate rehtey hein
Sab saaghar sheeshay laal o guhar
Iss baazi mein bhad jaate hein
Uttho sab khaali haathon ko
Is ran say bulawe aate hein

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar