Sanso ke aangan mein, dard ki aahat se Neend jab toot-ti hai, ek safed chadar mein Yadon Ki Pari aati hai Bahon mein phool hain aur chand kaliyan hain Maazi ki khirki hai, soch ki galiyan hain Ret ki diwarein hain aur ek gharonda hai Jism ke is chaukhat par Mera naam likha hai Ek hava si chalti hai, kaaley baadal chatey hain Zakham pe paani rista hai aur joh toofan uth-ta hai Na to woh gharonda hai aur na woh diwaren hain Jism ke is tootey pinjrey mein sirf ek jhoola jhoolta hai Rooh ki chirya badal mein Pari bun urr jaati hey Aur sanso ke aangan mein, dard ki aahat se Neend jab toot-ti hai Ek safed chadar mein Yadon ki Pari aati hai Chaman ke maali se kisi ney poocha hota Garam laavey ka sooraj aur too-ti chatri ka saaya Us maasoom paudhey par pasiney ki ek boondh Ek umidh, ek aas liye Jab woh paudhey ko seench-ta sawarn-ta Us phool ka khwaab dekhata hey Toh uske sookhe chehre par Muskurahat ki papri dikhai deti hey Kab yeh kaliyan phootengi Bazaron mein bechunga Aur do roti kharidunga Seeney ke pinjrey mein bundh bhooka parinda Jo dharakta rehta hey Ussey ek boondh bhi mil jayegi Shayad bhookh bhi mit jayegi Phir fakir ki sada aati hey "Din ka khwaab bara suhana hota hey Dil ke behlaney ka bahana hota hey"