Sochta na-paak Isme dil ka kya kasoor Dekhe bhi dikhe na Hai yeh dil ki Aarzu Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main. Baandh lu main Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main. Baandh lu main Dhoop mein main baitha likhu aarzu barsaat ki Barsaat ki raat ke baad aarzu aaftaab ki Hai mera bhi mamn kameena, aur hai laalchi Chahiye zulfein reshmi aur uski aankh bhi kaashni Dooriyan bhi chahiye mujhe geet likhne ko Par uske sath mujhe hai har raat bhi kaatni Fursat mein masroofiyat ke bare sochunga Masroofiyat mein fursat ke bahane khojunga Kabhi kahunga main khudko ki bahut hu main ro chuka Kabhi khud hi main khudke aansu poochhunga Hai mann mera ki main jaanu har cheez ke bare Kya hai yeh sansaar, kyu chamakte hain taare Kyu khafa hai sab kyu yun hi ladte hain saare Kyu insaan ho ke hum, insaan ko hi mare Dharti ko kehte maa aur fir maa ko hi kha rahe Kitni badi hai yeh kehkashan, kahan ko hum hain jaa rahe Sochta na-paak Isme dil ka kya kasoor Dekhe bhi dikhe na Hai yeh dil ki Aarzu Sochta na-paak Isme dil ka kya kasoor Dekhe bhi dikhe na Hai yeh dil ki Aarzu Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main. Baandh lu main Mere mann ki har ek aarzu ko baazuon mein baandh lu main. Baandh lu main