Kishore Kumar Hits

Akhil Redhu - Azaad şarkı sözleri

Sanatçı: Akhil Redhu

albüm: Rangamanch


Tujhe lage ki tu sahi toh main galat hi hu
Juth ki nadi me sach ki aag phir sulagti Kyu
Tadapti Meri rooh
Khuda ka hisaa hu
Insaan Teri jaat har baat pe bigadti Kyu
Jaha bhi dekhu hathiyar hai zubaan ke
Meethi meethi boli kadve hai vichar ke
Inka bas chale toh aaj hi ye unko tang de
Jo insaa'n inki choti soch ke khilaaf thein
Azaad rehna hai galat toh main galat sahi
Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi
Karma me yakeen mujhko darm me nahi
Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi
Azaad rehna hai galat toh main galat sahi
Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi
Karma me yakeen mujhko darm me nahi
Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi
Har taraf dikhuga main
Jaha bhi khwab bante ho
Mehnato'n ke rang se
Haqeekato'n me dhalte ho
Sukoon ke voh katrein jab
Junuun me sulagte ho
Iss chere pe hasi dikhe he
Aankhein chahe gham me ho
Na main mehlo se hu
Na kisi gali ka
Meri inn kahaniyo me
Sabka hai saleeqa
Mumbai-Delhi kerke
Mujhko shehero'n me na baatna
Ye geet sun mere
Main saare Hindustan ka
Mujhe Kya dhunta
Main teri hi azaa me hu
Meri hai kahani
Per ha tumse hi bana main hu
Panha me hi rahu
Ya tumse main ladu
Faisla tha tera aur dekh main sazaa me hu
Yakeen ker mera ye khwaab bhi pukarte
Sarhado se duur dekh ek naye jahaan me
Jin baaton ke khilaaf tu shayad voh kisse aam thein
Zaruuri toh nahi ke sab jeeye tere hisaab se
Azaad rehna hai galat toh main galat sahi
Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi
Karma me yakeen mujhko darm me nahi
Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi
Azaad rehna hai galat toh main galat sahi
Bediyo'n me qaid rehna sikha hi nahi
Karma me yakeen mujhko darm me nahi
Tere uch vichar mujhko sun ne hi nahi

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar