Kishore Kumar Hits

Munawar Faruqui - Khwahish şarkı sözleri

Sanatçı: Munawar Faruqui

albüm: Khwahish


Aankhe laal hai ab, kaali raat ho jayegi
Dard likhne baithun shayari ho jayegi
Jitni dur meri baat jaane wali hai
Utni durr inki soch bhi nahi jayegi
Mujhe girane ki firaaq me yeh baithe hai
Rehbar sirhane chirag liye baithe hai
Puchhte hai maine dekha kya hai zindagi mein
Maine jannat ke janaze uthate dekhe hai
Mere hum-dard mujhpe dard-o-zulm kare
Dua khuda se ke unke darjo ko buland kare
Sikandar jaise ki kabr ka thikana nahi hai
Bande mitti ke kis baat ka ghamand kare
Khane se zyada namak, zakhmo pe tha
Yakeen gairon pe, shak apno pe tha
Khush huwa job dekha laut te iqbal ko
Nahi woh lauta nahi, mai sapno mein tha
Tarbiyat pe meri yeh sawaal kar rahe hai
Mere urooj pe, dua e zawaal kar rahe hai
Dub jati thi kashti meri kagaz ki
Aaj kagaz bhi mere kamaal kar rahe hai
Beghar mai, bhula maa ke hath ke zaayke
Bahen deti phir bhi, sadke apne bhai ke
Dost kehte mai toh yaaro ka bhi yaar hun
Aur ladd ke baitha, mai khud apne bhai se
Manzil pe thi maut mai darta kaise
1,200 ki job karze adaa karta kaise
Mai joker jaisa hasta taklif me bhi
Mere andar ka yeh adakar marta kaise
Mera zikar bandh karo mai koi aayat nahi hoon
Duniya farebi mai khud wafa ke layak nahi hoon
Sawal chalenge toh haath inke kaapenge
Decade mera hai, mai ek din wala nayak nahi hoon
Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon
Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon
Tootne pe inki khwahish hogi puri,
Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon
Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon
Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon
Tootne pe inki khwahish hogi puri,
Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon
Apne bachpan ko mai sikko me hi tol aaya
Apni rahato ko pichhe kahi chhod aaya
Khushbu sab me, pehchanta mai nasal kaise
Gaya phool lene kaante saare tod laya
Mai sher, yeh saare mujhko shayar kehte
Mai toh hun raakh yeh phir bhi mujhko fire kehte
Fikar me janta kehti marr jayega re tu
Dekh mera time aaya, mujhko sab muraad kehte
Maut muqammal, mai darne wala nahi hoon
Jo jung haq hai, mai ladne wala wahi hoon
Taaliyon se jab tak bhar na dunga stadium
Kasam khuda ki mai marne wala nahi hoon
Bina wajah inka jalna mujhpe aam hai
Khair puchhte hai jab koi mujhse kaam hai
Chillar jaise bajte yeh aas paas mere yeh
Inki akkalon se bhi mote mujhpe daam hai
Bartan beche, toh ghar pe mere meal aaya
Woh bole chor, jab khilona mai chheen laya
Khelta tha kho-kho, aaj khoke me khelta hoon
Nikla qaid se, karke lock crore ki deal aaya
Sidi pe chada, tu rokne ko saanp la
Bewajah dadagiri nahi, ja apna baap la
Aaj sanki hai, doglon pe aag likhdun
Suhail kahi se jake fire proof panne la
Kala yeh dekh meri sare hakke bakke rehte
Hai 200 fanpage, idol mujhko haq se kehte
Hasa kar kitno ko aabad kiya hai maine
Yeh baat mai nahi, ye baat mere views kehte
Woh tha toofan joh dastak deke aaya tha
Akela tha, laga lashkar leke aaya tha
Puchhenge kiski hai lohe jaisi legacy
Kehna wo dongri wala aag leke aaya tha
Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon
Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon
Tootne pe inki khwahish hogi puri,
Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon
Inki nafrat ka bahana bann gaya hoon
Hasa kar kitno ka sahara bann gaya hoon
Tootne pe inki khwahish hogi puri,
Sahi kehte mai sitara bann gaya hoon

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar