Kishore Kumar Hits

Munawar Faruqui - Kalandar şarkı sözleri

Sanatçı: Munawar Faruqui

albüm: Kalandar


Chalke main sadko se betha ab palko pe
Har din chalata main apni hi sharto pe
Zakhmo se behta lahoo pochha pardo se
Marham lagati kalam mere dardo pe
Sukhi zameen kehti mujhpe kab barso ge
Par mera vaada kal milne ko tarso ge
Dete bicha mere pairo mein makhmal mein
Rokun ye kehke juda ab bhi farsho se
Sapne dekhta par chain se main soya kab tha
Hasa ke bhula aakhri baar main roya kab tha
Aa jati ronak mehfilon mein mere naam se hi
Itna nayab hun, aaj daam koi laga nai sakta
Gareeb bachpan se lagai ab shart hai
Fareed sabse hun, awaz mein hi tark hai
Fark hai, main chadta nahi bhid leke
Akela haq pe, main paida hua rid leke
Waqif hai sab toh fasane dard ke gaun kya
Zehan me galib, toh khazana koi laun kya
Woh kehte chubte mere lafz unhe bahot
Chir degi khamoshi, chup ho jaun kya
Saja ke jugnu, deta rahat hun me raat ko
Utaru kagzo pe puri kainaat ko
Aaine bhi toot jate mera chehra dekh
Unhi tukdo pe likhta jazbaat ko
Sar pe zimmedari, khwahishon ko apni mara
Jatate kehke sab, toh liya na sahara
Manta hun main hara hun hazaro jung
Khuda gawah hai, ek baar bhi na himat hara
Dooba khud mein, kaise koi kunva roke
Jalte sare, main aage badhta dhuan hoke
Na kabhi dekhta aage kya musibat hai
Mere piche qaafile hai chalte duaono ke
Maine toofan se lad ke loh jalaayi hai
Tab jake rab ne ye niyamate sajaayi hai
Mere andhere toh raat se bhi kale the
Khwab ki khatir mene nind ko aag lagai hai
Meri kalam meri quvvat, chahe manzil likh du
Meri hukumat, main lehro pe samandar likh du
Dum itna hai, main mast rehta khud hi mein
Main khud ki peshani pe kalandar likh du
Chalke main sadko se betha ab palko pe
Har din chalata main apni hi sharto pe
Zakhmo se behta lahoo pochha pardo se
Marham lagati kalam mere dardo pe
Sukhi zameen kehti mujhpe kab barso ge
Par mera vaada kal milne ko tarso ge
Dete bicha mere pairo mein makhmal mein
Rokun ye kehke juda ab bhi farsho se
Sapno ko zindagi di maine khudko maut deke
Lafzo mein jaan dali maine bas khamosh rehke
Janaza bhari seene pe ghumta boj leke
Koh-e-tuur se bhi hai majboot mere hauslen ye
Irada toota nahi khuda se juda nahi
Dilon mein basta rab to kabhi masjidon mein dhunda nahi
Jalun main roz taki bujhe ghar ka chula nahi
Bhatakta main musafir par main manzilo ko bhula nahi
Aankho se behta neela rang meri aashiqui hai
Dekha bas guroor tum na waqif meri sadgi se
Kalakar hi bas jaane kese uski raat beete
Hote hi andhera dil lagata bas wo chandani se
Main likh ke bas dikhata tujhe aaina hun
Galti meri isme kya ki pasand tujhko aaye na tu
Baatein khich ke banata mera daira kyu
Phir bhi gaane dalu tujhe har gaane mein zayka du
Padhi kitabein nahi sikhata mujhe bita kal
Neend mein main chalun khwabo ka raha picha kar
Par ye hai marathon toh kehta dheema chal
Jaldi todega toh khayega fir kese mitha fal
Nazar ke bahar hun main sabar ke sath hun main
Ye rapper murshid hai adab se mera hath choome
Kitno ki hasad or kitno ki bana arzoo main
Khamosh dilo ki chupi hui awaz hun main
Ghar ka chirag hun main sabko main roshni du
Manzil milegi par safar se apne laut nahi tu
Tu teri soch se bada hai zada soch nahi tu
Bas apne dil ki sun tu khojata hai shor mai kyu
Sikha hai tairna ghamo me mene doob ke
Pairon me chhale fir bhi rishta rasto se or dhoop se
Hum bhi kya khoob kagaz ko kehte mehboob hain
Syahi Jaan toh chidakta hun usse mashooq pe
Chalke main sadko se betha ab palko pe
Har din chalata main apni hi sharto pe
Zakhmo se behta lahoo pochha pardo se
Marham lagati kalam mere dardo pe
Sukhi zameen kehti mujhpe kab barso ge
Par mera vaada kal milne ko tarso ge
Dete bicha mere pairo mein makhmal mein
Rokun ye kehke juda ab bhi farsho se
Sadko pe
Barso ge
Milne ko tarso ge

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar