Maula mujhse tu mila de Khud se tu raza de Khoyi hoon main ab yaha Jeena seekha de Anjaan yeh raasta Ek adhoori daastan Kuch zaroori zimmedaari Kuch hai vaasta Haan Bhaari kandhe pe wazan hai Koshish likhna ek bhajan hai Maulvi ho jiske shabd Raabta dil se seedha rab Ajab gajab yeh shayari Kalam kitaab ki hai yeh reeth Mazhab se hoon main kalakaar Kare ibadat yeh beat Zapt waqt ko kar loon Waqt se lad loon Bhakt hoon main bhi maula Maula ek nazar Yaha mujhpe kar Kar zara ujaala Sapne dekha jab nadaan tha Hakiqat se anjaan Zakhm the par bezubaan tha Kehta aakhir kisko maula Raaz-e-dil bohot mushkil Bheege takiye aansoo se Main khush tha Par main tha shaamil Tanha apne mehfil mein Aa baat kar mulaaqat kar Hoon sahi disha ya bhatka Kardu sadka khud ke naam par Mujhse mujhe mila de maula Pesh hai meri qawaali maula Manzil ki talaash hai Kash tujhse roobaroo hoon maula Maula mujhse tu mila de Khud se tu raza de Khoyi hoon main ab yaha Jeena seekha de Maula jeena seekha de Mujhse se tu mila de Khoyi hoon main ab yaha Aye roobaroo karade Safed panno pe bayaan Hai dil ki aarzoo meri Lakeer mere naseeb ki Kalam se haatho mein padhi Iss geet mein sukoon Har ek shabd mein junoon Kavi hoon Iss nacheez ki taarif Sab ko hai malum Maula aye parvardigar Kalakaar hua nisaar Kala dhun hai meri Chun ke maine Pesh kiya upahaar Sab ke saamne Gava hai sab Kuch aur nahi Dua hai sab Rukh rab ki aur Pakadlu daud Gar roobaroo karade mujhse Maula mujhse tu mila de Khud se tu raza de Khoyi hoon main ab yaha Jeena seekha de