Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain So us ke shahar main kuchh din thehr ke dekhte hain Suna hai rabt hai us ko kharab halon se So apne aap ko barbad kar ke dekhte hain Suna hai dard ki gahak hain chashm-e nazuk us ki So ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain Suna hai us ko bhi hai sher-o shayari se shagaf So ham bhi mojazay apnay hunar ke dekhte hain Suna hai bole to baton se phool jharrtay hain Ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain Suna hai raat use chand takta rehta hai Sitaray baam-e falak se utar kar dekhtay hain Suna hai hashr hain us ki ghazaal si aankhain Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain Suna hai din ko usay titliyan satati hain Suna hai raat ko jugno thahar ke dekhte hain Suna hai rat se barh kar hain kakulan us ki Suna hai sham ko saye guzar ke dekhte hain Suna hai us ki siyah chashmagi qiyamat hai So us ko surma farosh aankh bhar ke dekhte hain Suna hai us ke labon se gulab jalate hain So ham bahar par ilzaam dhar ke dekhte hain Suna hai aaina tamasal hai jabin us ka Jo sada dill hain ban sanvar ke dekhte hain Suna hai jab se hamail hain us ki gardan main Mizaj aur hi lal-o gauhar ke dekhte hain Suna hai chashm-e tasavur se dasht-e imkan main Palang zawaiya us ki kamar ke dekhte hain Suna hai us ke badan ke tarash aisay hain Ke phuul apani qabayain qatar ke dekhte hain Woh sarvqad hai magar begul-e muraad nahin Ke us shajar pe shagufay samar ke dekhte hain Bas ek nigah se lutata hai qafila dil ka So rahravaan-e tamannaa bhi dar ke dekhte hain Suna hai us ke shabistan se mutasil hai behisht Makin udhar ke bhi jalway idhar ke dekhte hain Rukay tu gardishain us ka tawaf karti hain Chalay to us ko zamanay theher ke dekhte hain Kisay naseeb ke be parahan usay dekhay Kabhi kabhi dar-o divaar ghar ke dekhte hain Kahaniyan hi sahi sab mubalaghay hi sahi Agar woh khawb hai tabeer kar ke dekhte hain Ab us ke sheher main thehrain ke kooch kar jayan Faraz aao sitaray safar ke dekhte hain