Kishore Kumar Hits

Mr. $even - Krishna vs Arjun (Mahabharat Drill) şarkı sözleri

Sanatçı: Mr. $even

albüm: Krishna vs Arjun (Mahabharat Drill)


Precet teri beat kitthe aa (Mr. $even)
Kahani tumhe kurukshetra ki aaj abhi batlata hu
Geeta jiska naam hai uskaa saar tumhe smjhata hu
Sab prashno ka hal jisme ye granth bada hi nirala hai
Man vash me buddhi sthir karde jo padne wala hai
Kurukshetra me kauravo or pandavo ka hona yudh tha
Sab lekar khade the gada dhanush or dharm ko hona shudh tha
Kai laakho ki sena ke saamne khade pandav bechare the
Yudh shuru ho ise pratiksha me senik chilla re the
Dhanush gada talwar liye sab hahakar macha re the
Arjun ke rath ko to khud shri madhav ji hi chala re the
Sankh utha ke veero ne fir fooka use baja dala
Yudh hua arambh fir or ye drish bada hi nirala tha
Ranbhoomi ke sabhi nazare dekhan me kuch khaas lage
Pr arjun ko dekha madhav ne arjun unhe udaas lage
Madhav bole utho parth ab dhanush tumhe hi chalna hai
Hai kitna tu bada veer ye duniya ko dikhalana hai
Ye sunkar arjun ka chehra 1 hi pal me utar gaya
Mano 1 dhanurhdhaari ki vidya chuha aakr kutar gaya
Madhav bole utho parth kis baat ki chinta karte ho
Kya tum in laakho sainik ke bade shastr se darte ho
Arjun bole nai madhav sainik ka mujhko dar hi nahi
Parivar hi nahi rahega to fir chaiye esa ghar bhi nahi
Fark mujhe h padta nahi bhai bhai se ladta nai
Guru dron or pitamah ko kaise pohchaau hani
Khela 1 ki god me or dujje ne dhanush sikhaya hai
Duryodhana hai bhai mera han thora sa gussaya hai
Kya milna hai vadh karke mujhe apne kul ke veero ka
Nahi chaiye raaj path or gale me har heero ka
Ye sab sunke keshav bhi thore se vyakul hote hai
Arjun ko samjhate h ki veer na aise rote hai
Mai khush teri soch se ye sanskar sabhi to mere hai
Parivaaar bikhar jayega tera ye dukh ke andhere hai
Ab ye batla Ku chup the sab jab cheerharan vahan hora tha
Drishtraaj ne diya nahi bhoomi ka tukda thora sa
Khoon nahi khaula jo yu gaandiv hath se chora tha
Mai samay samay pe sath tha galti meri kuki bhola tha
Ab meri baato se tu seekh
Karm keval tu karta ja theek
Bhool ja haar bhool ja jeet
Utha gandiv chala fir teer (haan)
Yudh me na anuman laga
Vartman me dhyaan laga
Bhoot bhavisya ki baate bhool
Vartman ko jaan jara
Anjaam ki parvah mat kar
Karm me jaan lagade datkar
Ye sab maya ka chakkar
Bole madhav ji haskar
Fir roop dikhaya vishal kara kamal
Sabhi sawal ka diya jawaab
Bola tu parth ladega aaj
Na hogi khusi na hoga naraaz
Mai hi hu kal mai hi hu aaj mai itihaas
Mai hu saamaj mai hi Brahmastra
Mai hi paramta atmanivas

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar