Kishore Kumar Hits

Parvaaz - Mastaan şarkı sözleri

Sanatçı: Parvaaz

albüm: Kun


Hai meri zaat kya mujh ko kya yeh pata
Shakal-o-surat pe likha hai kya
Kyun kar main insaan, kaisey koi balah
Main mouj-e-dariya, beparwah hoon sada

Hai befikre mein kyun dooba saara jahaan
Kispey bharosa, kiska gila
Hai qaid duniya, fitrat hai mehruma
Jhootha tassavvur sab ka yahaan
Ya subhaan
Ya hazoor

Be-rang zahir, batin hai kyun siyah
Bas ek takalluf, jayiz hai yeh khala
Main soz-e-gul hoon, naghm-e-bulbul jawan
Udta phiroon main, ghar mera asman
Ya subaan
Ya hazoor
Mastaan, Mastaan, Mastaan, Mastaan

Jee ne kiya jo main ghar sey chaldiya
Fikron se gafil, moujon sa mai rawan
Hai hukum-e-awwal, shahid hai ek khuda
Awaz ka dushman na saki ka humnawa
Kyun kar main insaan kaise koi balah
Main mouj-e-dariya hoon sadah
Kar tanz baaton pe
Gar hosh hain maghroor yun
Jeena yahaan pe marna yahaan
Mastaan, mastaan, mastaan hoon main

Mastaan

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar