(Kingster) Apno ke janazo pe na rahu maujood mai Apno se pehle maut aake mujhe chuu le Apno ke thande shav soch kaap uthti rooh yeh (Kyu usool yeh) Ki har koi chala jayega ek din hume chodke Yaha rishte bandhe dor se aur dor bhi wo Kachhi koi chala jayega todke Naazuk itne ke dhoke aur fareb zindagi ke Har mod pe Ashqo mei na chupi baate hai ab Ashq yeh sukoon chahte hai bas Ashq bhi kya khel, khel hi jaate Ashqo ki baazi mei hi to haare hai hum Aur uss shaqs ki muskurahat pe tum Jaana nahi Uske vaado ki tarah yeh bhi ek jhoot hai Jaan maine chidki usne qubool na kari Bejaani ab ghumu peeke yaado ke wo Ghoot mai Kaise wo bhool gaye? Shayad unhe kabhi yaad hi nahi the hum Shayad unke kabhi naam hi nahi the hum Shayad unke kabhi pyaar hi nahi the hum Veeran bhi pada hu boht tere liye hi Shamshaan ki tarah Iss aag mei jala hu boht tootke tabhi Aaj aadmi bana Mirage unn yaado ka milega dil ke Uss registaan mei Na milega aesa koi lamha jo tere liye Hai neelam ni kara Tu chaand ki tarah de roshni Mai ghadi bas dekhunga maut ki Jab lage ki theek ho gaya Tab chehre se tere phir aata hai hosh nahi Kyu jaari hai abhi bhi khoj wahi? Khushaali mei dukho ka shor wahi Mai teri har aadat pe maru Phir kyu ab bhi tujhe hai mera koi shauk nahi? Shauk ki baate khair chodo mai Jaanu kon baitha hai teri unn nazro mei Wo dosti udhari bas naam ki maine Aur dekho kon dooba hai karzo mei Log kahe kyu likhta hai uske baare, Jab usko hai tera khayaal nahi Jaana yeh nazre bas dekhe hai tujhe Aur jaata hai tera khayaal nahi Ab duniya ke kya hi hai kehne jab gairo Ka apno mei roop hi dikhe Mai sach ki adaalat ko maanu par Usme to har pal bas jhoot hi bike Jab apne umeede lagaye to kaise Bolu mujhe chahat inn sapno ki? Wakalat mai karta hu karmo ki phir Bhi kyu apna wajood ni mile?