Kishore Kumar Hits

Zulfiqar Ali Hussaini - Dar e Nabi Par şarkı sözleri

Sanatçı: Zulfiqar Ali Hussaini

albüm: Dar e Nabi Par


Dar-e-Nabi par para rahun ga
Pare hi rehne se kaam ho ga
Kabhi to kismat khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
1) Khilaaf e mehboob kuch hua hai
Na koi aashiq se kaam hoga
Khuda bhi hoga udhar hi aey dil
Jidhar wo aali makaam hoga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
2) Kiye hi jaoun ga arz mutlab
Mile ga jab tak na dil ka mutlab
Na sham e mutlab ki subha hogi
Na ye fasana tamaam hoga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
Dar-e-Nabi par para rahun ga
Pare hi rehne se kaam ho ga
3) Jo dil se hai maayil e paiyambar
Ye iski pehchaan hai mukarrar
Ke har dam iss be-nawa ke lab par
Durood hoga, sallam ho ga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam ho ga
4) Isi tawakka pe jee raha hun
Yehi tamanna jila rahi hai
Nigaah-e-lutfo karam na ho gi
To mujh ko jeena haram hoga
Dar-e-Nabi par para rahun ga
Pare hi rehne se kaam ho ga
Kabhi to kismet khule gi meri
Kabhi to mera sallam hoga

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar