Raaton ke andheron mein jab Khamoshi galyon mein ghoomay Sayay bhi tum se kuch keh dein gay Rahon ke kaanton pe chal ke Dur andheron se nikal ke Rang sab apnay badal ke, Aa ga'ay ho phir yahan Ho gayay ho aashna Roshni ke des mein Tum bhi dekho gay kayee jalway! Dhoondo ge sitaray to zamana tumhey dekhay ga Aa ke tumharee yeh zindagee se khelay ga Jalo ge zamanay ke jo sang tum chalo ge Tum so na pao ge, doob jao ge! Likho jo naee daastan Mitain gay Nahi phir nishaan! Bhoolay se bhi woh na jaagain Sayay se apnay woh bhagain Jal Nahi paein gay phir diyay! Dur anjaani iss dagar pe Ek andheri rahguzar pe Aas ki kirnon se dar ke, Chal diyay ho tum kahan? Dhoondtay kiss kay nishaan? Shor ke bazaar mein Hosh na ayay kabhi phir tumhein! Dhoondo ge sitaray to zamana tumhey dekhay ga Aa ke tumharee yeh zindagee se khelay ga Jalo ge zamanay ke jo sang tum chalo ge Tum so na pao ge, doob jao ge! Bhula do yeh saara jahaan Likho ek naee daastan Mitain gay Nahi phir nishaan! Aa sang hamaray chal re Aa buss yahi ek pal re Meray saayay mein tu chal, Apni dunya se nikal, Aa sab ko chor ke chal re, Dhoonda hai sitaron ko, zamanay ko bhi dekhain gay Aa ke tumharee hum zindagee se khelain gay Likhi hai apnee zindagi ki daastan Mitay ga Nahi phir nishaan!