Kishore Kumar Hits

Epr Iyer - Yeh Bata (Bella Ciao) şarkı sözleri

Sanatçı: Epr Iyer

albüm: Protest Poetry


Sadkon se gayab
Vyaapar-e-maanav
Bacche hamare kahaan hai
Bataa ye bataa
Jaari hai shoshan
Bikta hai youvan
Roke toh kaise
Roke ye bataa ye bataa
Shikaar manav taskari
Ka lag bhag desh ka har koi hissa
Adhmari peedito dardbhari
Nark hui bandhak zindaggi ka kissa
Hinsa bal prayog dhoka
Durupayog dhande men jismfaroshi
Ghar se doordaraj ke rajyon men lakaar
Yaun shoshan majdoori bandhua
Bandhugan bangal mamlon men number one
Avaidh vyapaar gulaami kaamkaj agyaat maa baap
Ghargrihasti se zabardasti vaishyavriti ladkiyan
Jabran shaadi apaharan naariyon ka
Kumariyon ka samajik asamanta uh
Ekisvi shatabdi har aat minute men agva ek
Vyavasayik vyapaari yaha Insaan hi insaan ko bech
Pesh kare tasveer vichitra rishtedaar parivaar padosi
Chand Rupiyon ki andh lalaach ne
Bujha Di insaaniyat ki jyoti
Sadkon se gayab
Vyaapar-e-maanav
Bacche hamare kahaan hai
Bataa ye bataa
Jaari hai shoshan
Bikta hai youvan
Roke toh kaise
Roke ye bataa ye bataa
Antrashtriya antarajyeeya antarjaal aur human trafficking
Jismo ka ye karobar multi arbon dollar industry uh Bacchon ki pornography eet ke bhatto ya sadkon pe bheek kaat Ke hadpe tumhari kidney
Kaley bazaaron men bikte yuhi kyu ki
Jab ho demand jab jiski mang
Paida hote Suppliers
Gair kaununi kaam
Androoni gaon se dekar jo nakuri ki lalach
Phasne ke raaste anek bachne ke kum
Ashiksha gareebi
Kanoon ki chuppi aur chuppi par pooche
Hamare baccho ki gumshudgi
Lapata lapata lawaaris
Kinte maata pita kitne prabhavit
Padhne likhne school college ko chale the
Aj nilaami hai Unki baazaron men
Sadkon se gayab
Vyaapar-e-maanav
Bacche hamare kahaan hai
Bataa ye bataa
Jaari hai shoshan
Bikta hai youvan
Roke toh kaise
Roke ye bataa ye bataa

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar