Kishore Kumar Hits

Epr Iyer - Mein Ravaa şarkı sözleri

Sanatçı: Epr Iyer

albüm: Protest Poetry


Main ravaa khayaalon mein main dooba
Rubaroo mere savaalon ke?
Jaanu na kya arzoo hai meri
Kaarvaan yeh chalti saason ki
Main ravaa
Marodein kitne gend kaagazon ke pheke
Thehre phaile mailey bhoomital Mein ki
Bhoomika nibhaani kiski mujhko
Poochhtach ye khud se khud ki khud ko
Pustakon ke pannon men mai kabza
Kiski pangtiyaan ye kiska jazba
Garaj raha main prashno ka woh badal
Kashmakash-E-zindagi ke Kaabil
Shayad hi Saahil pe ilzaam du
Naavik ko aashray ki aasha-dhoop
Manzil Musafir ki aankhein kyu
Sagar Siyasi mein toofan yu
Inaayat hai lafzon ka mujh par
Khwabeeda jhooton ko sach ban kar
Vastavikta ke sheeshon par
Vaar prahaar Daraar
Main ravaa khayaalon mein main dooba
Rubaroo mere savaalon ke?
Jaanu na kya arzoo hai meri
Kaarvaan yeh chalti saason ki
Main ravaa
Sangharshon ke Sangati mein rangat
Fungus na lagte mujhpe main pathhar
Rolling meri soch main schrodinger
Yeh aag iztiraar fitrat
Himmat hai Aankhon mein thoosey
Meri Jootein tazurbey ka roop le
Touche' Muhavaron ka Buffet
Mere ootein Jahaaj registaan se poochhe
Couple de etat ye rooh ki chipchipahat
Kuchle kitne Shashano ki aahat
Faislon ki saikadon adaalat
Kathgharon mein kaid atke aadat
Raahat shahadat mein saahas
Ijazat ki baazuon mein takkar
Kahavat ki sau sunaar ek lohaar
Dhaar hai toh jaan aur main
Main ravaa khayaalon mein main dooba
Rubaroo mere savaalon ke?
Jaanu na kya arzoo hai meri
Kaarvaan yeh chalti saason ki
Main ravaa

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar