(Verse: Encore) Kya haal hai jaani Theeke? Aao to baitho suno fir kahani. Hai dairy farm wale laundo ki zabani Bheje me hai paisa lekin rakhte lawde pe ambani Kyuki ameeri, hai itni badi chor Jitni hai nahi gareebi Gareeb kahi se roti la raha 2 feeki Fir bhi teeji (3rd) roti uski leke jaa raha ameer hi. Kaise? Vo bole usko tax! Kala paisa! All facts! No cap bey! Election ka promo money Socho nahi Kaha se aa raha hai kya Ya do vote ya fir vote do nahi Khair, Har ek din aur har ek waqt se bair Har haan me haan milane waale launde hote hai gair Aur samvidhaan badalna chahne waale Bole khudko deshbhakt Inki ego trip me bahara mera desh rakt Bhidega jonsa hoke jaega beizzat Mai khoonkhaar peshkash Kalam tod - dev dutt! Haatho ke dumm pe cycle leke chaand pe Ek lance, aur ek neil- mere dono arm strong hai. (Hook) Vo boli aaj hi, poocha usse jab mai mujhse kab karegi shaadi Raajdhani waale launde rahe hamesha raaji Aur jab miya beewi raazi to fir kya karega quazi uh! (Verse: Calm) Tha kabhi ni khush Ab haasil hai sab par na jaane kuch chube Deta ni kisi ko time aur ab Mitr puraane pehchaane na mujhe Hu swaarthee thoda me aankhon me teri to mujhe kya Ma chudu chomu me karu jo lage sahi mujhe na suni kisi ki na Sununga aage me thoda sa Dheet hu Tilaknagar se GQ Yaha badhti zimmedari Par me rehta theek hu Hain khaate khud kamaake Kisi k papa ka nahi Aur ab kam ni padhta humpe kabi khaana paani Tab merepe bahana tha ni Na bolu me khudko jhoot Tab mere me tha ni darr Ab sochu me jaau na doob Koi maara ni teer ukhaada ni jhaat Ki bolu me goat hu par abhi time hai Kabhi to samjho kavi ko dhang se Kami to humme Likha ni mene jo sunna tha unko Padhu me log Kara tha mene bhi battle me choke Hichkichaake kare the shows Ab ikminan se sunu me shor Harr ek awaaz hai mere liye keemti Bade streams hain gale me chain bhi Kaha the 4 ab 10 hazaar gaye seedha hype badhake mainstream Wo BRIDGE: Wo boli "aaj hi" Pucha usse jab me mujhse kab karegi shaadi Raajdhaani waale launde rahe hamesha raazi Aur jab miya biwi raazi to firr kya karega kaazi