Vahi mod pe haan khada hu main Jaha chod gyi thi mujhe tu kari na koi baat bhi Vahi mod pe haan khada hu main Jaha jate jate le gayi tu dil mera sath hi 5 saal hue par main hoon bhula nahi Taraazo bhi tut gaye pyaar mera tula nahi Rula galiyon mein jaha the mile kabhi Haan batein rahi dabhi koi raaz abhi khula nahi Subh subh hoton pe ho naam tera Teri ek hasi hi jaana hai inaam mera Naam mera bane ya na bane parvah nahi Hai pana tujhe bas ek tu hi hai maqaam mera Dhyaan de zara in lafzon pe Haan sapno si tu aati rehti sapno mein Jo Kal jode maine shabd mere bana tera chehra Ke likhta hu tujhko main nazmon mein Karli koshishein hazar maine main tujhko na bhula paya Syahi sa rang chada tera koi bhi na mita paya Sabse chupa ke bas kare khatam panne kitaab ke Jazbaat likhe saare jo kabhi bhi na jata paya To Bas bhi kar aja ab ke jaan meri hadd hogyi hai intezaar ki Vahi mod pe haan khada hu main Jaha chod gyi thi mujhe tu kari na koi baat bhi Vahi mod pe haan khada hu main Jaha jate jate le gayi tu dil mera sath hi Ghadi ki suiyan bhi thak gayi tu aai na Meri kitaab tere liye hai tera aaina Tu kehti hai mujhe main jaanu na kya dukh hain tere Jana kuch baatein kabhi bhi jaati hain samjhai na Mujhe pata h sab Galti ki maine bhi hai Tu gayi palat to pasa palti ki maine bhi hai Door rehna tujhse laga mushkil hai bada Dil ne musalsal tujhse pyaar hai kara To jana hath bada baat bada kabhi to sath bana Aashna main tera kyu tu mujhse hai khafa Mana kataar hai badi main khada aakhri mein Par ye bhi vaada aakhri tak rhunga khada Bhara hai shiddat se, ye pyaar aam nahi hai Chada firoor tera mujhe ab aram nahi hai Galat na samjhna mujhe aye dilkash mere Aankhon se pilaate tum,humne uthaye jaam nahi hai