Ghar mera khaali sa Ghar mera ret aur behta main paani sa Khidki pehchanti suraj ko, aane deti par woh mere tak aati na Dil mera khokla Saason ka mol kya hai jab yeh use bhar paati na Khamiyan mere mein ya main banaya gaya tha inhi se Yeh kaafi baar socha maine Daag hi daag mere kapdo pe Saath hi saath mere apno pe Lage mera khoon, mere nass rote Mil ni paata khudi ke hi nazron se Mulaqaat rozaana ho ashkon se Mere dost chipe mere nazron mein Dabe baaton ke main wazanon se Daba daba rahu, Ediyan ghiskar huwa rawa, Dil ko kheenchta Meri dawa dooje kinaare Par meri dawa ki mujhe ni izzat Yeh meri dikkat? Ya yeh meri fitrat? (Fitrat) Fitrat Jhoote usoolon se maine banaya tha mera ek ghar Inhi deewaaro mein dil hai sukoon mein, main befikar Dikhi daraarein toh main besabar, main unhe sudhaar du, main kamakal Jiye andhere mein jo use roshni se lage darr Haan mujhe hosh ni, main ni insaan Mere samajh se pare yeh baat Ki mera yeh ghosla mere khilaaf Woh mere se cheen lega meri jaan Aur mera kalam, woh meri pehchaan Isi se dhoop aur chhaon ka karun bayaan Yeh tute agar, toh mera sawaal Kya meri rakam? Hai meri kya laaj? Yeh hai amulya, toh mera kya bhaw? Dariya dil bas meri umeed hai meri yeh naaw Hai mujhe yakeen ke kisi zameen ki mujhe ni kismat Inhi leheron pe mera bistar Isime tayrta firu main dinbhar Sochu dosh dedu mere zidd par Kya main soch lu yeh meri marzi? Ya main odh lu mera yeh kambal? Khule aankh toh dikhe bas aasma Anjaan ghume waha main aur meri Fitrat