Khali kamra or vo usme aa ghusi Ab hai do log main or meri mayusi Main tha chup uski baatien naa ruki Apne aane vajah ab bata tu hi Batane aayi ki chodh zada sochna Tere sochne se jaldi aayegi maut na Mann tera bada or dil hai saaf sa Batta likhke apna dukh jaise Kafka Kyo sota bechain hoke Ye duniya ke dard nhi sehan hote Logo ke aese mujhse jaata dekha nhi Tabhi buri adadaten paali hai ek aadhi Par chodho, fir bhi seedhe chadhi ek ek kar Dheere pace kar, izzat rakhi nhi maiz par Jalan nhi hui kisi ko dekh kar, ek pal Kyoki gaano pe dhyan diya na hi fame par Duniya daari chodh rakhi, baaton pe he dhyan nhi Duba rehta gaano me, tabhi meri jaan gyi Sunte mujhe legend bande, thodi hai hairangi Par pata tha waqt aayega mujhe apni pehchaan thi Jo fayde ke liye, unse apan katke rehte Kara ni galat kabhi, rishte tab banke rehte Par hum na ladte, athe, dukh saare manke sehte Tabhi garav se kehte, ki hum charam pe bethe Aau aese ghar se unhone kabhi ha roka nhi Par khaas khush hone ka unko diya zada mauka nhi Rahul zada rota nahi, jazbato se samjhota bhi Pachtawa reh gaya ki Dada ko de paya tofa nahi Jataya nahi par kaafi bar soke uthta hu main rote ve Taajub hota pyaar pe aur hassi aati dhoke pe Maaf karna sikha, baaton ko dil pe main rakhta na Jisse jitna lo du usse dugna seekha jab dus ka tha Sikha ye ki lalach paalna nahi he kabhi Hua 23 saal ka par ye baat he mann me rahi Bina liye imaandaari hum ghar se chalte nahi Khud se hi bolenge jhoot to kese banenge kavi Ye mera sachh ki padhke mana khudko ucha thoda Galat tha bohot har bade ke aage ka muh tha khola Samjha nhi faasle hai peedhiyo me to boldiya Jab mauka mila gyan baata vapas mila ghol piya Nashe ki aadat nhi par karne ki vajah bohot Sochra 2 saalo se ki music ka du ghala ghot Diya isse pyaar itna vapas mila pura nhi Lagane bethu main hisaab, daal jisam me churra hi Kismat vala jaha gaya mile aese log Saath badhne vale bina fayda ke rehte dost Par Abke liye bus aage kabhi karni baat Yaad rakhna mera naam jab aaunga agli baar Smoke