Anokhi Waza Hai Saray Zamanay Say Niralay Hain Yeh Aashiq Kaunsi Basti Kay Yaa Rab Rehnay Walay Hain Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay Kabhi Ghaur Say Bhi Yeh Dekha Hai Tu Nay Jo Maamoor Thay Wo Mehel Ab Hain Sooonay Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kesay Kesay Makeen Ho Gaye La Makaan Kesay Kesay Huey Namwar Bay Nishaan Kesay Kesay Zameen Kha Gayee NauJawan Kesay Kesay Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Ajal Nay Na Kisra Hi Chora Na Daara Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara Har Aik Chor Kay Kya Kya Hasrat Sidhara Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya Jawani Nay Phir Tujhko Majnoon Banaya Burr'haapay Nay Phir Aa Kay Kya Kya Sataya Ajal Tera Kar Day Ge Bilkul Safaya Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Say Bala Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhokay Main Dala Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Burr'hapay Say Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kionkar Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai Yeh Ibrat Ki Jaa Hai Tamasha Nahin Hai Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai Kahin Shikwa'Jor-o-Makr-o-Dawa Hai Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Ha