Khushi ke jalte suraj ko Sukun ke ujle gumbaj ko Buri nazron ka nigal gaya grahan Assar tha uski sazish mein Jo saiyyaron ki gardish mein Zahar ki tarah thehar gaya grahan Khushi ke jalte suraj ko Sukun ke ujle gumbaj ko Buri nazron ka nigal gaya grahan Wo aafat hi kuchh aisi thi Ke fitrat deemak jaisi thi Jo til-til karke utar gaya grahan Nazron ki aage dhundh hai Sab darwaaze band hain Jhoota lage har dilaasa Haanf rahi awaaz hai Parde ke peeche raaz hai Hota nahin kyun khulaasa Muskurahat sehmi hai Gham ki gehma ghemi hai Duayein saari nikli ke bewafa Raat kat-ti karwat mein Ansoo chhupa ke silwat mein Subah ki kirnein bhi lagti hain khafa Qayamat bhar ke daaman mein Kisi ke ghar ke angan mein Kehar ki tarah utar gaya grahan Nazron ki aage dhundh hai Sab darwaaze band hain Jhoota lage har dilaasa Haanf rahi awaaz hai Parde ke peeche raaz hai Hota nahin kyun khulaasa