Zindagi ka pehla din Safar kathin Dil mein vo aas thi Socha kuch banne ka zindagi tarasdi Ujala tha har taraf Par zindagi mene andhere mein kaat di Zindagi choti itni ki Zindagi mene ek tape se naap di Zindagi adhuri Zindagi bin adhura main Sapne mere phir bhi kar na sakta pura main Betha hu zameen pe Taare bhi dikhte chote Kal ka hu savera Par zindagi mein andhera hai Har taraf dikhti khayi dikhta kuwa Manzil nahi hai badte chal abey rukna kyu hai Dikhe na kuch bhi Tolu khudko kisse Dikhne mein safed shareer mera dhua hai Main khud se dur duri badhti ja rhi hai Main khudko khinchu majburiya sata rahi hai Na hoti hal bas hoti hai viphal Meri koshishein bhi ab ehsaan jata rahi hein Judna zamin se par jate ja ra upar Marna hu chahta par taras kha ra rooh par Roti hai rooh ye kaha aake phas gyi Log chal rhe zameen pe main chal raha aansu par Hawa bhi kam pad rhi hai mere rehne ko Kehti mujhse bas thodi der aur behene do Ab mujhe aisa lag raha hawa aansu hai Na dikhte hai apno ko na dikhte hai gairon ko Main parinda sa ban udd ra hu Halka mera shareer ab hawa se jud raha hu Dheere dheere lag raha hai sub kuch yahi tha Zindagi mein phela bhot ab kuch gaj mein sikud raha hu