Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi Door they to zindagi be rang thi be kaif thi Unke kuwe me gaye to zindagi achchi lagi Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi Mai na jaunga kahin bhi dar nabi ka chhodkar Mujhko kuwe Mustafa(s.a.w) ki chaakri achchi lagi Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi Walihana ho gaye jo tere qadmon par nisaar Haq ta'ala ko adaa unki badi achchi lagi Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi Naaz kar tu ai Halima sarware kaunain par Gar lagi achchi to teri jhopdi achchi lagi Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi Rakh diye sarkar ke qadmon pe sultanon ne sar Sarware kaunon makan ko saadgi achchi lagi Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi Aaj mehfil me niyaazi naat jo maine padhi Aashiqane Mustafa(s.a.w) ko wof badi achchi lagi Khusrawi achchi lagi na sarwari achchi lagi Hum fakiron ko Madine ki gali achchi lagi