Aankhon mein thi masti Na tha kabhi ye socha Par dil millay dasti Pata bhi nahi chala Thi sab se tu alag si Ab dekho kya hai hogaya Ek hadh tak jo samajh thi Wo hai chali gayi kahan? Nazrein milltay hi hoagaya tha ehsaas ke Khushian lay ke khari hai tu apnay haathon mein Sochnay ki fursat hi na thi meray dimaagh mein Aur meray dil mein chali aandhi, baat ab saaf hai Tou aaja lay ke chaloon tujhay khwaab mein Jo bhi kami hai wo poori kar lein gay hum baad mein Bas darna nahi hai tu ne haan pyaar se Baaki chor de sab tu meray pe, aaja chalein Baatein gol nahi karni ab tu aaja meri baahon mein Tu hi hai wohi jiss ka kar raha tha intezaar mein Nakhray nahi hai karnay, pooray kar day meray sapnay Kab se hun mein yun adhoora aaja meray se ye waaday kar lay Haan ye dunya alag, hum alag hain Baaki sab hain aam par hum tou farak hain Zindagi hai mushkil par sabar hai Agar magar chorro bolo agar koi qadar hai Tou aaja aaja chalein door hum yahan se Manzil hai anjaani par kisi tarah se Mill hi gaye hain hum ab bhool jayein gay saaray ghum hum Na sochein gay ziaada hum haan karo mujh se waada ke Gum jayein gay hum Dekho mein ne kardi Chupi hui ye dil ki baat Kya ki hai mein ne ghalti? Ye tou waqt hi bataye ga Par hai rehti tu hassti Kaisay haan ye tou bata? Kya khushi hai ye asli? Ya hai koi ajab sa nasha? Kismat hi lay ke aayi hum ko iss jahaan mein Kar lay hum pe aitebaar bolo jo hai zubaan pe Khushian bhi hain yahan bolo darnay ki kya baat hai? Tension nahi hai laini kyun ke hum dono ab saath hain Tou aaja gum jaatay hain hum khwaab mein Jo bhi mushkil hogi banaani hum ne asaan hai Bas darna nahi hai tu ne haan pyaar se Baaki chor de sab tu meray pe, aaja chalein Baatein gol nahi karni ab tu aaja meri baahon mein Tu hi hai wohi jiss ka kar raha tha intezaar mein Nakhray nahi hai karnay, pooray kar day meray sapnay Kab se hun mein yun adhoora aaja meray se ye waaday kar lay Haan ye dunya alag, hum alag hain Baaki sab hain aam par hum tou farak hain Zindagi hai mushkil par sabar hai Agar magar chorro bolo agar koi qadar hai Tou aaja aaja chalein door hum yahan se Manzil hai anjaani par kisi tarah se Mill hi gaye hain hum ab bhool jayein gay saaray ghum hum Na sochein gay ziaada hum haan karo mujh se waada ke Tou aaja qadam rakhein apnay khwaab mein Dunya ko hilla dein apni iss baat se Ke ek doosray ke liye jeenay ki waja se Millta hai laazawaal sa samaa, chalein? Nazron pe nazrein gira chalein Inn ke jaaduon ko dara chalein Hum dono rahein gay haan saath kharray Har tarah ke aazaab se haan larhein Har kisi ko hum ye bata chalein Ke hum se na haar ki baat karein Waqt ko yun apna bana chalein Muft ki yain se aazaad kharay Tum se hi tou seekha hai mein ne Kis tarah se jeenay hai mein ne Har mushkil ko peena hai Haan har mushkil ko peena hai meinay Tou agar magar choro kya meri khata hai? Aisay sochnay mein ke ab mein aur tum aazaad hain Hathkarhi hi nahi thi kabhi bhi iss khwaab pe Zindagi se bachnay ka ye khwaab hi ilaaj hai Harr koi humein kahay heer raanjha Chorta kyun nahi hai zamaana? Issi liye tou mein tujhay kahoon aaja Likhein aik nayya afsaana Aaja, aaja, gum hojayein hum Aaja, aaja, gum hojayein hum Aaja, aaja, gum hojayein Aaja, aaja, gum hojayein hum Aaja, aaja, gum hojayein hum Aaja, aaja, gum hojayein