Mushaira laga hy khilafat e rind ka Aqeedat main bethy hain nafs aur aqeeda Muhally ki masjid main hori azaan Wo kanchy bhi kehty thy mujh Ko nailaami Sy dar thora kam Zarf maazi kahani sy bahir Nikal lagy kaafir sy ghr thy wo Khali magar mujhy kaamil Sa Lagy ye baagi sa ghr thory Ghaazi hain mard Edr mashaal hay aurat aur Qalam ghulaami sy darta nahi Mera khouf ki basti sy panga Tha pehly ab khouf Sy bolo ku Deta tu phanda nahi Galy main danda ab qalam pe Weham Main thora sa pehly sy patla aur Thora sa pehly sy Cash ka aadi En naso main ghaas aur khoon Main pani Hawaly nai dhoondy yahan sy Kisi ky muqaddar Ki khirkiyan Tori nai maine jo dety Awaazain thy arsh bata Ky wo Khuda ki qasam sy suni nai Maine Zaahir bhi howa main saaro ki Aankhon pe bandhi thi patti Zamany ki Dunia faraebi main palti hay Marham lagany Ko maangta dil Sukoon ki talab sy janam ye Khtam ab qabar pe phool aur Qalam pe marham Ye safar taweel nai hota youn Khatam Par dunia ka mela ye 4 hi Qadam Pe khtam par khuda bhi deta Hay mohlat insaan Ko thora Jazbaat sy kaam ly aaj tuu thory Khilaaf shikar Ky aarzu meri ky Jaan bhi jayy pary giry na izzat Ki topi Wo dy ryy ye goli pe Molly ki linain jo kheenchi to Lagta Sarhany main sar rakh ky Tery sath betha ye jisam Sy Jisam bhi jury par Aankhon sy Aankhain milati Nai tum main Qaasid hun naib Ghrany ka Sur Main Mandir ki Murti aur Masjid ki Saf Main Girjy main Eesa ky haathon ka Raqs Main jhoomoon es masti ky Alam main sarkon Pe kaali gari Meri khwabon ky daldal main Phasi Hay hassi hay chehry pe Maathy pe shikan Ab betha Mushiary main rind hun main fil waqt Apny aap ko rakha mayaan Main laga ky ky Khudi hay Main Meri soch pe aqal ky dairy nai Banty ye Ishq Ki Sarhad Haqeeqat pe Mabni es ghazal Ko naam do nazam ka Zakhmo pe namak ka zehar bhi Chirak do Thora sa kafan ky kapry pe Pewand laga ky aakhon sy Haqeeqat ko pher do Apny jazbaat pe hota nai qaabu Aap meri kotahi ko kr dain muaaf Main rindon ki mehfil main Betha mushaira laga ky aap Rakhain na mujh sy koi aas