Eik hazaar jazbaat par hay gaana yay likha Pachaas hazaar minton ka hay silsilaa Laakhon ilfaaz hain aik gaanay mein bayaan Ye hai tumhaaray liay, sun lay zara Ke do hazaar bees, yay tum nay kia kiyaa, har taraf likha 'yahaan bethna mana' Bin bulaye mehmaan jesay ghar pay kawwa ya ho kaali billi ka rasta kaatna 6, 7, 8, 9 Feet ka hay faasla rakhna abb tou pyaar bhi naa ho paaye ga Jesay Teen hazaar din guzaaray hon na pata din raat ka Abhi bhi kya waqt hay mujhko nahi andaaza Laakhon dafa aik screen ko dekhna parha Aankhain tou dukhti hain, dil bhi dukh raha Ke do hazaar bees, yay tum nay kia kiyaa, har taraf likha 'yahaan bethna mana' Bin bulaye mehmaan jesay ghar pay kawwa ya ho kaali billi ka rasta kaatna 6, 7, 8, 9 Feet ka hay faasla rakhna abb tou pyaar bhi naa ho paaye ga Hum kitnay ganday hain Aur kitnay andhay hain Kehtay badlain gae Kehtay sudhrain gae Aur hum kitnay bewakoof Na dein kisi kay haqooq Dunya badlain gae Kya hum sudhrain gae? Aik hazaar sapnay tou tootay hain yahaan Pachaas hazaar kaam sochay aik bhi na hua Laakhon jaanay li aik saal main yahaan Samajhay boht barhay hain hum tou choonti hain yaar Ye hai tumhaaray liay, bas kar day yaar