Taqdeer se kya gila Khuda ki marzi, Jo kuchh bhi hua, hua Khuda ki marzi, Amjad, har baat mein kahaantak kyon, kyon? Har kyon ki intahaa, Khuda ki marzi Duniya bhi ajab serai faani dekhi, Har cheez yahan ki aani jaani dekhi, Joo aake na jaae woh burhaapa dekha, Jo jaa ke na aae woh javaani dekhi, Har shai mein jamaal-e-dilruba ko dekha Har cheez men shaan-e kibriya ko dekha Makhluq mein khaliq ka nazr aaya jisko Us dekhne wale ne khuda ko dekha.