Duaon me meri khudaya asar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de Duaon me meri khudaya asar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de Karun ahl-e-duniya ke gham ko madawa, Mere haath me koi aisa hunar de Karun ahl-e-duniya ke gham ko madawa, Mere haath me koi aisa hunar de Bhatakta phira hun mai manzil ki khatir Bhatakta phira hun mai manzil ki khatir Jo phldaar ho koi aisa shajar de Duaon me meri khudaya asar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de ♪ Ata kar mere dil ko taskeen ya Rab Mai kab mangta hun ke laho-gohar de Ata kar mere dil ko taskeen ya Rab Mai kab mangta hun ke laho-gohar de Mai duniya ke mahlon ka talib nahin hun Mai duniya ke mahlon ka talib nahin hun Meri ye dua hai ke jannat me ghar de Duaon me meri khudaya asar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de
Jo maa baap ka dard rakhta ho dil me Khudaya mujhe aisa noor-e-nazar de Jo maa baap ka dard rakhta ho dil me Khudaya mujhe aisa noor-e-nazar de Khushi de ke wapas na lena kabhi tu Khushi de ke wapas na lena kabhi tu Na ho shaam jiski tu aisi sehar de Duaon me meri khudaya asar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de
Mujhe maal-o-zar de ke maghroor na kar Mere dil me Allah tu apna dar de Mujhe maal-o-zar de ke maghroor na kar Mere dil me Allah tu apna dar de Tamanna hai meri ho deedar tera Tamanna hai meri ho deedar tera Nazar aaye mujhko tu aisi nazar de Duaon me meri khudaya asar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de Meri kaavishon ka mujhe tu samar de