Kishore Kumar Hits

Manikk - One Woman Army şarkı sözleri

Sanatçı: Manikk

albüm: One Woman Army


Bina roye mai kahaani yeh btau kaise
Shuru se mai shuru karu, aakhir tak jaau kaise
Itna pyaar apne dil mei samaau kaise
Chehre pe raunak ke bina mai so jau kaise
Log badle, badla yeh waqt hai
Zamaane ki yeh reet padhau kaise
Padhaya dil se, mehnat se hai, shaunk se hai
Sapne mai poore kare bina thamm jaau kaise
Khwaish ek meri, dil mei baatein 100
Manzil ek meri, mushkilein hai 100
Mai bolne lagu, toh awaaz ko dabaayein 100
Tu ladki hai, tujhse na hoga, bhala kai ko?
YouTube ko zariya banaya maine
6 mahine mei 4-5 views aaye
Mai na khush thi, aur log bhi toh haste the
(Huh) mai jaanti thi mushkilein hain raste pe
Par kya mai ruki? Nah. Yeh koi auction nahi
Consistency ke bina koi option nahi
Ek din uthi, hua chamatkaar tha
Raaton raat aankda ek laakh paar tha
Raaton raat ke liye mai kitni raatein soyi na
Video banau, neend aaye, chalo koi na
Chahe mai ghar pe, ya hu mai hostel mei
2 saalon mei 250 videos, deri kabhi hui na
Kiya shuru tha jab, deta na tha sath koi
Aaj party bhi chahiye unhe, yeh bhi koi baat hui
Logon ke taane badalne lage tareefon mei
Khush hu mai, kyunki abhi toh shuruwaat hui
Dil se maangi ho jo khushiyan, voh milengi sabko
Jo pehle milte na the mujhse, mile voh abb toh
Mubaarak ho fam, we're 1 Lakh army now
Silver button ki chamak ache se milegi sabko
Mujhe chahiye na kuch bhi
Meri har jeet, meri maa ke naam ho
Mujhe chahiye na kuch bhi
Mere kaam se hi maa ko salaam ho
Mujhe chahiye na kuch bhi
Teri khwaishein bhi poori karungi maa
Tera haath ho sar pe
Toh duniya se akeli ladungi maa
Mujhe chahiye na kuch bhi
Meri har jeet, meri maa ke naam ho
Mujhe chahiye na kuch bhi
Mere kaam se hi maa ko salaam ho
Mujhe chahiye na kuch bhi
Teri khwaishein bhi poori karungi maa
Tera haath ho sar pe
Toh duniya se akeli ladungi maa
Yeh gaana kaamyaabi ki kahaani nahi
Be-zubaan ko zubaan dene ki nishani hai yeh
Gaon ke logon ko yeh daastaan sunani hai
Unki beti jaisi beti ki zindagi ki kahani hai yeh
Har sheher, har gaon, har mohalle ki
Har ek beti bohot khaas hai, voh aam nahi
Mile azaadi jo poori tarah, toh iss desh ki
Har ek beti banegi one woman army
Meri zindagi ka bas ek maksad
Mere karan meri jaisi 4 aur betiyan bhi age ayein
Zindagi mei bas chhaa jaayein
Maidaan mei voh aag si laga jaayein
Ae mere dost, logon ke peeche peeche bhaagna nahi
Logon ko apne peeche bhagaana hai
Vichaar aasmani, paaon zameen pe
Kyunki dharti se jude rehne valon ka yeh zamana hai
Degree se na judge karo kisi ko
Insaaniyat ki degree alag har insaan mei
Kya pata voh dancer ya singer ho acha
Jiske math ya science mei aaye na number baanve (92)
Meri darkhuast har maa baap se
Aapke bacchon ko jo karna hai, unhe karne do
Khwabon ke raaste pe chalne do
Unki khushiyan aur mehnat ki aag ko balne do
Teh dil se dhanyawaad meri pyaari maa ko
Karne diya jo maine chaha, kabhi roka nahi
Akele hi sambhala tune, abb hai meri baari
Maa, tujh-sa koi na hai, aur kabhi hoga nahi
Shuru se diya sath, kiya har kaam swikaar
Meri maa ne diya mujhe pita ji ka pyaar
Meri naa ne sikhaya mujhe aisa kuch karjane ka
Ke yaad rakhe mujhe mera sheher Kotdwara
Mujhe chahiye na kuch bhi
Meri har jeet, meri maa ke naam ho
Mujhe chahiye na kuch bhi
Mere kaam se hi maa ko salaam ho
Mujhe chahiye na kuch bhi
Teri khwaishein bhi poori karungi maa
Tera haath ho sar pe
Toh duniya se akeli ladungi maa
Tera haath ho sar pe
Toh duniya se (Duniya se) (Duniya se)

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

21

2021 · single

Benzer Sanatçılar