Ghar sambhaalne ko hi to ghar se dauda aaya tha Socha khud ko poora baant doonga duniya mein Magar main ghar se thoda aaya tha Laga ki bujh jauga, Magar meri khoyi kahaniya Aaj bhi andar se sulag rahi hai Ye sansaar barf sa jamta hi ja raha hai Aur meri sanson mein kasak badi hai Maya se bhari kaynaat mein meri tapan Alag khadi hai, bhabhak rahi hai, tadap rahi hai Duniya ki damak ko chhod ye laptein meri rooh par Basar kar rahi hai Meri ye kala hi mujhe ek din khatm kar degi Meri ye kala hi mujhe ek din khatm kar degi Magar jise bhi chhu rahi hai Use Amar kar rahi hai