Samjha mujhe nithalla tha Sabki nazar me jhalla tha Ab sabko batlaunga Kuch karke dikhlaunga Kaam ko mere nakaara tha Khud ko samjha sahara tha Bin tumhare main aaunga Sari duniya pe chhaunga Bade khwab maine bachpan se hain dekhe Sota tha unhe apni apni aankhon me leke Bhed chaal me sab hain mujhe banna ni aisa Sab bhaagte piche mujhe chahiye ni paisa Ugte phool ko pani dene wale nahi hain Qabil ko aage badhane wale nahi hai Society se shabashi kya milegi kabhi Par aise bade dilwale society me nahi hai Struggle sabki zindgi me maine bhi kiya Dhokhe wala kadwa ghoont maine bhi piya Gaddhe the par khud ko maine girne na diya Jeewan ki is game ko maine booyah hai kiya Jo khud ko bada samajhte the ab mere piche firte hain Dooje ka hak maarne wale aise hi niche girte hain Khud ko kehta shubhchintak tu aasteen ka saanp hai Aenak hata ke dekh zara khada saamne baap hai Samjha mujhe nithalla tha Sabki nazar me jhalla tha Ab sabko batlaunga Kuch karke dikhlaunga Kaam ko mere nakaara tha Khud ko samjha sahara tha Bin tumhare main aaunga Sari duniya pe chhaunga Mere sapne mere hain bhai tumko kya lena dena Padte piche aise ho jaise main tota aur tum maina Mooh pe mitthu piche tattu yahi teri aukaat hai Mujhse ladne bhidne ki bhala kya teri bisaat hai Khud ko shaana kehta hai par teri shey aur maat hai Aeda banke peda khana tum sabki yahi jaat hai Mere sang tum sabka sath hai to darne ki kya baat hai Sher na darte chuhon se ye to chuhon ki baraat hai Haan hoge tum sahi par main kahan ghalat Mehnat se aage badhne ki shuru se hai lat lat Lat ne meri mujhko manzar aaj aisa dikhlaya hai Duniya bhar se pyar seedha mere hisse aaya hai Pehchan banai jo maine use chheen kabhi na paoge Aag se kheloge bandhu to mitti me mil jaoge Ab bade bade log meri karte hain talash Mujhse jalne wale dekho ban gaye zinda laash Samjha mujhe nithalla tha Sabki nazar me jhalla tha Ab sabko batlaunga Kuch karke dikhlaunga Kaam ko mere nakaara tha Khud ko samjha sahara tha Bin tumhare main aaunga Sari duniya pe chhaunga