Kishore Kumar Hits

KSAR - KABAR. şarkı sözleri

Sanatçı: KSAR

albüm: THE KAANDI MIXTAPE


Jaara tum sab se dur
Ye yaade kheechey mujhko
Khuda ka kya kasur
Mene hai maara khudko
Ye pehli keelein meri zindagi ki
Bichaa tu p arthiv shareer
Mera thok de woh keel
Tedhi
Medhi si baatein karte jaa raha tha
Maa meri royi par woh dost musku ra raha tha
Nakli woh yaari thi
Paali mene bimaari thi
Saanpo ko dudh chadha diya
Kari usne gaddari hi thi
Par sab nahi, kuch asli bhi they
Mujhe dekh ke chaati meri bhi peet re they
Woh cheek re they
Kahaaniya sunaare meri
Kaafi sateeq se they
They keep sayin'
Ke yaad meri aa rahi hai
Jo asli waali thi woh aansu kyu chupaa rahi hai?
Sawaalon ke ye, tsunami si jo aa rahi hai
Bulbul bethi hai jo tabse shamshaan me,
Mere gaane gun gunnaa rahi hai
Ek aur keel ye sawaalon ke jo thok chuka
Maut se zyada dard ye dhoke ka hai 2 guna
Kaun asli kon nakli najaane kisko dosh dunga
Upar jab jau toh khuda ka ghar mai dhund lunga
Kya ye sab asli hai?
Ye duniya nakli hai?
Idhar koi waqt ni fir
Ya kiski chalti hai?
Ye kaala rang na jaane failey kyu jaa raha hai
Ye mere jeevan me andhera sa ab laa raha hai
Sawaalo ke bastey ko kandhey me chadha chuke
Kismat ek khel tha jo ab hai azmaa chuke
Manzil woh kaafi dur dur se pukaare mujhe
Jaldi se aaja tu
Yun kehke ab bulaaye mujhe
Doshi theraun kisey sab gunhegar hai
Farzi sapno ke fasaane ka ye bazaar hai
Andhere kamre me sirf shaanti ab goonjti
Lakeerey choti kyu padi bhi ek sawaal hai
Woh 10 minute jo meri zindagi dikhaye mujhe
Bachpan ki yaade dikhaa kar jo ab pighlaye mujhe
Buri ache waqt ki tasveeren dikhaye mujhe
Jannat ya jahnum kidhar jaara hu koi bataaye mujhe
Pahaunchne waala hu mai bhi khuda ke dwaar pe
Tabtak taraazu se meri wafaa ka bhao dekh
Keemat bataana mere pyaar ki ussey
Dum kyu ghot raha gendey ka ye haar hai
Bachi hai keelein 2
Ye saanse cheen lo
Khatam ye meri khoj
Dur rakho nakli log
Ashko ke pichey ki
Kahaaniya bhi bol
Andar ki baate khol
Murda ki galti bol
Na meri galti woh
Kismat esi jo palti toh
Girna padhna bhi lage shok
Me bethe mere thode dost
Ankho me kashti behe rahi jo
Yaadon me meri doobey woh
Darna issey ek vehm tha
Saanse hai ab jo kho di toh
Jeere meri yaadon me kyun
Shaanti hi maange meri rooh
Jaane bhi do mujhe tum ab
Baaton me sabki kyu rahu
Ab lega mera woh hisaab
Farishta hu ya koi asur
Khula hai ab ye maut ka moo
Aankhey band kar aur jaldi kood
Aakhri keel
Thoko mere naam pe
Jisne bhi dard diya chodh usko jaan de
Jaan de, tu yam ke haath me
Ab thuki saari keeley teri
Kabar taiyyar hai
Maut ke ghaat me khuda ne ab utaar diya
Na diya gham aur kisi se na udhaar liya
Jaara mai bhi bharr ke vaadon ke kuch karz ko
Jaana padhega maa usney ab mera naam liya

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar