Kishore Kumar Hits

Mustafa - Chaar Shabd şarkı sözleri

Sanatçı: Mustafa

albüm: Chaar Shabd


Neeli neeli battiyonke beech
Baitha apne galtiyon ke beech
Pahuchna tha lafzo ki gali
Doob gaya kashtiyon ke beech
Ghazal likhu ya geet teri aankhon pe
Hai dil ko bhi umeed
Teri aankhon se
To aati nahi hai
Neend meri aankhon me
Ye mann ki saari
Baat aake tiki meri
Aankhon me
Mai ban ke baha ashq
Maa ki aankhon se
Kyu hai behte
Lafz meri aankhon se
Na Darr hai na dard meri
Aankhon pe hai karz uski nazro ka
Thi dawa mere marzo ki
Par bhool Raha hu uska chehra
Aaj hai hona jashn meri aankhon me
Mai jau bikhar tere haathon pe
Tu jaaye bass meri aankhon me
Ye kamra hai saboot
Ke nikal ne ko hai
Rooh meri aankhon se aur
Hu kehne ko mai be fikar par
Kiski aankhon me tu Rahi hai jal
Aur Chahke bhi na paati hai pighal
Mere badan pe hai nishan
Teri aankhon ke
Banjaro ka tha ghar kabhi
Jin aankhon me
Thi khwaabo ka
Thikana ab hai bass
Kash ma kash
Unn aankhon me
Na kehti hai wo lafzo me
Phir bhi jaati chuke dil
Masle nazro ke hai
Bhukte dil patta uski
Aankhien aur hai kutta dil to phaiku
Dil mai kispe soche
Bin jab kaatu na Kate
Ye din bahar mere bass ke dil ab
Khul chuki hai aankhien ho chuka hai bhasm dil
()
Ab toh bigad gaya hai wo (hmm)
Wo dekhe duniya tedi nazro se
Wo dekhe chod ghar ki par hai
Rehta chup
Wo zaalim uspe hasdete saare
Gulaam wo hai haal ka
Par dard na wo baate
Wo ab dhyaan bhi na deta
Par maa ka chehra roz aata
Aage jiske peeche dard sau
Toh wo hasi bhi satati kyuki
Jaanta hai wo, hai bas ye dikhawa
Taaki jaan na paaye haal koi
Par jaan jaati apno ko dekh
Dukh me tabhi nau sikhiya
Kheeche daru ek ghoot me
Hu mai na samajh
Sajalu kitne shabd mai is geet
Pe jawaab na sawaalo ka toh
Khud hi ban na pada mujhe
Khwaab meri jeet ka,
Khud hi hu mai aas meri jeet ka
Na dekh saku mudd ke
Par dil basa wahi
Hai khatarnaak udaasi ki ye laat
Tujhe dekh sala jaley
Mera dil
Tujhe dekh sala khaule
Mera khoon
Tujhe dekh sala fisal jaata
Man
Par leta mera dhua dhyaan rakh

Поcмотреть все песни артиста

Sanatçının diğer albümleri

Benzer Sanatçılar